Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye khel bhul-bhulayyan mein humne khela bhi

Mazhar Imam

ye khel bhul-bhulayyan mein humne khela bhi

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    ye khel bhūl-bhulayyāñ meñ ham ne khelā bhī

    tirī talāsh bhī aur ḳhud ko DhūñDā bhī

    mirā nasīb thī hamvār rāste thakan

    mirā harīf pahāḌoñ pe chaḌh ke utrā bhī

    ye aarzū thī ki yak-rañg ho ke letā

    magar vo aañkh jo shaitāñ bhī hai farishta bhī

    samundaroñ se guhar kab ke ho ga.e nāpaid

    bhañvar ke saath maiñ gahrā.iyoñ meñ utrā bhī

    barahnagī pe bhī guzrā qabā-e-zar gumāñ

    libās par huā juzv-e-badan dhokā bhī

    garajne vaale baraste nahīñ ye sunte the

    guzishta raat vo garjā bhī aur barsā bhī

    ye khel bhul-bhulayyan mein hum ne khela bhi

    teri talash bhi ki aur KHud ko DhunDa bhi

    mera nasib thi hamwar raste ki thakan

    mera harif pahaDon pe chaDh ke utra bhi

    ye aarzu thi ki yak-rang ho ke ji leta

    magar wo aankh jo shaitan bhi hai farishta bhi

    samundaron se guhar kab ke ho gae napaid

    bhanwar ke sath main gahraiyon mein utra bhi

    barahnagi pe bhi guzra qaba-e-zar ka guman

    libas par hua juzw-e-badan ka dhoka bhi

    garajne wale baraste nahin ye sunte the

    guzishta raat wo garja bhi aur barsa bhi

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 89)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now