Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye khusrawi-o-shaukat-e-shahana mubarak

Bedam Shah Warsi

ye khusrawi-o-shaukat-e-shahana mubarak

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    ye khusravī-o-shaukat-e-shāhāna mubārak

    ye qasr ye ḳhuddām ye kāshāna mubārak

    mastoñ ko mubārak dar-e-mai-ḳhāna ke sajde

    mai-ḳhāna tujhe murshid-e-mai-ḳhāna mubārak

    ai chashm-e-tamannā tirī ummīd bar aa.e

    uThtā hai naqāb-e-ruḳh-e-jānāna mubārak

    bulbul ko mubārak ho havā-e-gul-o-gulshan

    parvāne ko soz-e-dil-e-parvāna mubārak

    lo uTh ga.e sab jalva-gāh-e-nāz ke parde

    nazzāra-e-husn-e-ruḳh-e-jānāna mubārak

    sarmad ko mubārak hoñ mai-e-sāf ke sāġhar

    'bedam' hameñ durd-e-tah-e-paimāna mubārak

    ye khusrawi-o-shaukat-e-shahana mubarak

    ye qasr ye KHuddam ye kashana mubarak

    maston ko mubarak dar-e-mai-KHana ke sajde

    mai-KHana tujhe murshid-e-mai-KHana mubarak

    ai chashm-e-tamanna teri ummid bar aae

    uThta hai naqab-e-ruKH-e-jaanana mubarak

    bulbul ko mubarak ho hawa-e-gul-o-gulshan

    parwane ko soz-e-dil-e-parwana mubarak

    lo uTh gae sab jalwa-gah-e-naz ke parde

    nazzara-e-husn-e-ruKH-e-jaanana mubarak

    sarmad ko mubarak hon mai-e-saf ke saghar

    'bedam' hamein durd-e-tah-e-paimana mubarak

    Source:

    Deewan-e-bedam (Rekhta Website) (Pg. 112)

    • Author: Bedam Shah Warsi
      • Publisher: Hindustani Book Depo, Lucknow
      • Year of Publication: 1935
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now