Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kuchh badlaw sa achchha laga hai

Shariq Kaifi

ye kuchh badlaw sa achchha laga hai

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    ye kuchh badlāv achchhā lagā hai

    hameñ ik dūsrā achchhā lagā hai

    samajhnā hai use nazdīk kar

    jise mujh burā achchhā lagā hai

    ye kyā har vaqt jiine duā.eñ

    yahāñ aisā bhī kyā achchhā lagā hai

    safar to zindagī bhar hai lekin

    ye vaqfa zarā achchhā lagā hai

    mirī nazreñ bhī haiñ ab āsmāñ par

    koī mahv-e-duā achchhā lagā hai

    hue barbād jis ke ishq meñ ham

    vo ab kar zarā achchhā lagā hai

    vo sūraj jo mirā dushman thā din bhar

    mujhe Dhaltā huā achchhā lagā hai

    koī pūchhe to kyā batlā.eñge ham

    ki is manzar meñ kyā achchhā lagā hai

    ye kuchh badlaw sa achchha laga hai

    hamein ek dusra achchha laga hai

    samajhna hai use nazdik ja kar

    jise mujh sa bura achchha laga hai

    ye kya har waqt jine ki duaen

    yahan aisa bhi kya achchha laga hai

    safar to zindagi bhar ka hai lekin

    ye waqfa sa zara achchha laga hai

    meri nazren bhi hain ab aasman par

    koi mahw-e-dua achchha laga hai

    hue barbaad jis ke ishq mein hum

    wo ab ja kar zara achchha laga hai

    wo suraj jo mera dushman tha din bhar

    mujhe Dhalta hua achchha laga hai

    koi puchhe to kya batlaenge hum

    ki is manzar mein kya achchha laga hai

    Source:

    Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 101)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 2008
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now