Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain

Sabir Waseem

ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain

Sabir Waseem

MORE BYSabir Waseem

    ye mahr o mah be-charāġh aaise ki raakh ban kar bikhar rahe haiñ

    ham apnī jaañ diyā bujhā.e kisī galī se guzar rahe haiñ

    ye dukh jo matlūb milā hai fishār apnī zaat hai

    ki ham ḳhud apnī talāsh meñ haiñ aur apne sadmoñ se mar rahe haiñ

    vajūd kyuuñ hai shuhūd kyuuñ hai sabāt kyā hai najāt kyā hai

    inhī savāloñ aag le kar ham apnā isbāt kar rahe haiñ

    ai vaqt ke be-qayās dhāre kidhar haiñ vo ham-nasab hamāre

    jo ek zinda ḳhabar ḳhātir ḳhud aap se be-ḳhabar rahe haiñ

    aziyyatoñ nuzūl mauqūf ḳhaak uḌāne par nahīñ hai

    azaab un ko bhī to mile haiñ jo log apne ghar rahe haiñ

    nazar meñ itnī shabāhateñ haiñ ki us pahchān kho ga.ī hai

    samā.atoñ meñ hai shor itnā ki har sadā se mukar rahe haiñ

    hamāre andar ḳhauf 'sābir' shikast dene lagā hai ham ko

    lahū rut ab guzar ga.ī hai diloñ meñ sahrā utar rahe haiñ

    ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain

    hum apni jaan ka diya bujhae kisi gali se guzar rahe hain

    ye dukh jo matlub ka mila hai fishaar apni hi zat ka hai

    ki hum KHud apni talash mein hain aur apne sadmon se mar rahe hain

    wajud kyun hai shuhud kyun hai sabaat kya hai najat kya hai

    inhi sawalon ki aag le kar hum apna isbaat kar rahe hain

    ai waqt ke be-qayas dhaare kidhar hain wo ham-nasab hamare

    jo ek zinda KHabar ki KHatir KHud aap se be-KHabar rahe hain

    aziyyaton ka nuzul mauquf KHak uDane hi par nahin hai

    azab un ko bhi to mile hain jo log apne hi ghar rahe hain

    nazar mein itni shabahaten hain ki us ki pahchan kho gai hai

    samaaton mein hai shor itna ki har sada se mukar rahe hain

    hamare andar ka KHauf 'sabir' shikast dene laga hai hum ko

    lahu ki rut ab guzar gai hai dilon mein sahra utar rahe hain

    Source:

    siip-volume-47 (Pg. 49)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now