ye mera wahima hai ya KHuda mahsus hota hai
ye merā vāhima hai yā ḳhudā mahsūs hotā hai
mujhe tanhā.ī meñ ik dūsrā mahsūs hotā hai
jise maiñ intihā.ī qurb meñ bhī chhū nahīñ saktā
mujhe vo duur se be-intihā mahsūs hotā hai
kabhī pahle nahīñ bole the itne ghar ke darvāze
ziyāda tez hai ab ke havā mahsūs hotā hai
sabhī chāo-rachāo aaj bhī hai ibtidā jaisā
purānā 'ishq bhī kaisā nayā mahsūs hotā hai
banī is tarh us ke jism kī taz.īn-e-goyā.ī
ki chup baiThā bhī ho to boltā mahsūs hotā hai
mirī ḳhvāhish meñ shāyad koī pahlū hai ḳharābī kā
qubūl ab ke nahīñ hogī du'ā mahsūs hotā hai
mujhe mā'lūm hai merā muḳhālif hai magar 'āsim'
mujhe vo aadmī bilkul kharā mahsūs hotā hai
ye mera wahima hai ya KHuda mahsus hota hai
mujhe tanhai mein ek dusra mahsus hota hai
jise main intihai qurb mein bhi chhu nahin sakta
mujhe wo dur se be-intiha mahsus hota hai
kabhi pahle nahin bole the itne ghar ke darwaze
ziyaada tez hai ab ke hawa mahsus hota hai
sabhi chao-rachao aaj bhi hai ibtida jaisa
purana 'ishq bhi kaisa naya mahsus hota hai
bani is tarh us ke jism ki tazin-e-goyai
ki chup baiTha bhi ho to bolta mahsus hota hai
meri KHwahish mein shayad koi pahlu hai KHarabi ka
qubul ab ke nahin hogi du'a mahsus hota hai
mujhe ma'lum hai mera muKHalif hai magar 'asim'
mujhe wo aadmi bilkul khara mahsus hota hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 51)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.