Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye naKHl-e-tak nin mai-kash tere jab mast hote hain

Ishq Aurangabadi

ye naKHl-e-tak nin mai-kash tere jab mast hote hain

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    ye naḳhl-e-tāk niiñ mai-kash tire jab mast hote haiñ

    chaman meñ aiñDate añgḌā.iyāñ le le ke sote haiñ

    tire ushshāq kār-e-dast ko karte haiñ āñkhoñ se

    guhar aañsū ke kis siffat se mizhgāñ meñ pirote haiñ

    safedī kuchh jo thī so bhī miTī haihāt rone se

    siyāhī nāma-e-a.amāl kyā ḳhaak dhote haiñ

    ga.e-guzre nahīñ haiñ 'ishq' dīvānoñ se kuchh ham bhī

    vo apnī sudh bisarte hoveñge ham ḳhud ko khote haiñ

    ye naKHl-e-tak nin mai-kash tere jab mast hote hain

    chaman mein ainDate angDaiyan le le ke sote hain

    tere ushshaq kar-e-dast ko karte hain aankhon se

    guhar aansu ke kis siffat se mizhgan mein pirote hain

    safedi kuchh jo thi so bhi miTi haihat rone se

    siyahi nama-e-amal ki kya KHak dhote hain

    gae-guzre nahin hain 'ishq' diwanon se kuchh hum bhi

    wo apni sudh bisarte howenge hum KHud ko khote hain

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 65)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now