Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye phailti shikastagi ehsas ki taraf

Adil Mansuri

ye phailti shikastagi ehsas ki taraf

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    ye phailtī shikastagī ehsās taraf

    dariyā ravāñ-davāñ haiñ mirī pyaas taraf

    us badan jhukā huā patthar bench par

    apne qadam bhī muḌte hue ghaas taraf

    dikhlā rahī hai dhuup bashāshat aa.ina

    aur chhāñv khīñchtī hai mujhe yaas taraf

    ashiyā lazzatoñ meñ aTaktā huā badan

    aur ruuh khiñchāv hai ban-bās taraf

    sab ye samajh rahe the ki nirvān mil gayā

    chakrā rahī hai chiil magar maas taraf

    ye phailti shikastagi ehsas ki taraf

    dariya rawan-dawan hain meri pyas ki taraf

    us ka badan jhuka hua patthar ki bench par

    apne qadam bhi muDte hue ghas ki taraf

    dikhla rahi hai dhup bashashat ka aaina

    aur chhanw khinchti hai mujhe yas ki taraf

    ashiya ki lazzaton mein aTakta hua badan

    aur ruh ka khinchaw hai ban-bas ki taraf

    sab ye samajh rahe the ki nirwan mil gaya

    chakra rahi hai chil magar mas ki taraf

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 914)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now