aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata

Prem Warbartani

ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    ye shab to kyā sahar ko bhī shāyad nahīñ patā

    maiñ āḳhirī charāġh huuñ sūraj ke shahr

    bazm-e-sukūt-e-dil meñ hai halchal machī huī

    sārañgiyāñ haiñ kis ke badan ġhazal-sarā

    merī bayāz-e-dard vo paḌh kar bahut hañse

    thā naam jin pahle varaq par likhā huā

    dekhā ajiib ḳhvāb amāvas raat ne

    ham chal rahe the chāñd pe donoñ barhana-pā

    sho.aloñ ke haath the ki ThiThurte chale ga.e

    phir barf libās kisī ne pahan liyā

    sone tashtarī meñ sajā kar na phuul bhej

    ye khel mujh ġharīb se dekhā na jā.egā

    ḳhushbū ke ḳhvāb meñ na Dhalī zindagī magar

    chandan lakḌiyoñ se jalānā mirī chitā

    kāġhaz naav aag ke dariyā meñ Daal

    kyā jaane aur chāhtī kyā hai tirī anā

    ai dost is qadar bhī akelā koī na ho

    maiñ ḳhud bhī apne saath nahīñ dūsrā to kyā

    ai 'prem' yuuñ to dhuum thī saare jahān meñ

    apne ghar meñ koī hameñ pūchhtā na thā

    ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata

    main aaKHiri charagh hun suraj ke shahr ka

    bazm-e-sukut-e-dil mein hai halchal machi hui

    sarangiyan hain kis ke badan ki ghazal-sara

    meri bayaz-e-dard wo paDh kar bahut hanse

    tha nam jin ka pahle waraq par likha hua

    dekha ajib KHwab amawas ki raat ne

    hum chal rahe the chand pe donon barhana-pa

    shoalon ke hath the ki ThiThurte chale gae

    phir barf ka libas kisi ne pahan liya

    sone ki tashtari mein saja kar na phul bhej

    ye khel mujh gharib se dekha na jaega

    KHushbu ke KHwab mein na Dhali zindagi magar

    chandan ki lakDiyon se jalana meri chita

    kaghaz ki naw aag ke dariya mein Dal di

    kya jaane aur chahti kya hai teri ana

    ai dost is qadar bhi akela koi na ho

    main KHud bhi apne sath nahin dusra to kya

    ai 'prem' yun to dhum thi sare jahan mein

    apne hi ghar mein koi hamein puchhta na tha

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 173)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now