aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye surmai fazaon ki kunmunahaTen

Firaq Gorakhpuri

ye surmai fazaon ki kunmunahaTen

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    ye surma.ī fazāoñ kunmunāhaTeñ

    miltī haiñ mujh ko pichhle pahar terī āhaTeñ

    is kā.enāt-e-ġham fasurda fazāoñ meñ

    bikhrā ga.e haiñ aa ke vo kuchh muskurāhaTeñ

    ai jism-e-nāznīn-e-nigār-e-nazar-navāz

    sub.h-e-shab-e-visāl terī malgujāhaTeñ

    paḌtī hai āsmān-e-mohabbat pe chhūT

    balbe jabīn-e-nāz tirī jagmagāhaTeñ

    chaltī hai jab nasīm-e-ḳhayāl-e-ḳhirām-e-nāz

    suntā huuñ dāmanoñ tire sarsarāhaTeñ

    chashm-e-siyah tabassum-e-pinhāñ liye hue

    pau phūTne se qabl ufuq adāhateñ

    jumbish meñ jaise shāḳh ho gul-hā-e-naġhma

    ik paikar-e-jamīl ye lahlahāhaTeñ

    jhoñkoñ nazr hai chaman-e-intizār-e-dost

    yād-e-ummīd-o-bīm ye sansanāhaTeñ

    ho sāmnā agar to ḳhajil ho nigāh-e-barq

    dekhī haiñ uzv uzv meñ vo achpalāhaTeñ

    kis des ko sidhār ga.iiñ ai jamāl-e-yār

    rañgīñ laboñ pe khel ke kuchh muskurāhaTeñ

    ruḳhsār-e-tar se taaza ho bāġh-e-adan yaad

    aur us pahlī sub.h vo rasmasāhaTeñ

    sāz-e-jamāl ye navā-hā-e-sarmadī

    joban to vo farishte suneñ gungunāhaTeñ

    āzurdagī-e-husn bhī kis darja shoḳh hai

    ashkoñ meñ tairtī huī kuchh muskurāhaTeñ

    hone lagā huuñ ḳhud se qarīñ ai shab-e-alam

    maiñ rahā huuñ hijr meñ kuchh apnī āhaTeñ

    merī ġhazal jaan samajhnā unheñ 'firāq'

    sham-e-ḳhayāl-e-yār ye thartharāhaTeñ

    ye surmai fazaon ki kunmunahaTen

    milti hain mujh ko pichhle pahar teri aahaTen

    is kaenat-e-gham ki fasurda fazaon mein

    bikhra gae hain aa ke wo kuchh muskurahaTen

    ai jism-e-naznin-e-nigar-e-nazar-nawaz

    subh-e-shab-e-visal teri malgujahaTen

    paDti hai aasman-e-mohabbat pe chhuT si

    balbe jabin-e-naz teri jagmagahaTen

    chalti hai jab nasim-e-KHayal-e-KHiram-e-naz

    sunta hun damanon ki tere sarsarahaTen

    chashm-e-siyah tabassum-e-pinhan liye hue

    pau phuTne se qabl ufuq ki adahaten

    jumbish mein jaise shaKH ho gul-ha-e-naghma ki

    ek paikar-e-jamil ki ye lahlahahaTen

    jhonkon ki nazr hai chaman-e-intizar-e-dost

    yaad-e-ummid-o-bim ki ye sansanahaTen

    ho samna agar to KHajil ho nigah-e-barq

    dekhi hain uzw uzw mein wo achpalahaTen

    kis des ko sidhaar gain ai jamal-e-yar

    rangin labon pe khel ke kuchh muskurahaTen

    ruKHsar-e-tar se taza ho bagh-e-adan ki yaad

    aur us ki pahli subh ki wo rasmasahaTen

    saz-e-jamal ki ye nawa-ha-e-sarmadi

    joban to wo farishte sunen gungunahaTen

    aazurdagi-e-husn bhi kis darja shoKH hai

    ashkon mein tairti hui kuchh muskurahaTen

    hone laga hun KHud se qarin ai shab-e-alam

    main pa raha hun hijr mein kuchh apni aahaTen

    meri ghazal ki jaan samajhna unhen 'firaq'

    sham-e-KHayal-e-yar ki ye thartharahaTen

    Source:

    Gul-e-Naghma (Pg. 43)

    • Author: Firaq Gorakhpuri
      • Edition: 2006
      • Publisher: Idarah idarah ilm-o-adab, Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now