Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

likhe the humne jo ashkon ki raushnai se

Haidar Jafri

likhe the humne jo ashkon ki raushnai se

Haidar Jafri

MORE BYHaidar Jafri

    likhe the ham ne jo ashkoñ raushnā.ī se

    vo ishq ke bhī maqālāt qīmtī haiñ bahut

    inhī se hotī hai me'rāj ishq ko hāsil

    ye dard aur ye jazbāt qīmtī haiñ bahut

    nisāb-e-'ishq meñ pūchhe ga.e haiñ jo aksar

    javāb chhoḌo savālāt qīmtī haiñ bahut

    hamāre jiine Dhāras yahī bañdhātī haiñ

    tumhārī yādoñ bārāt qīmtī haiñ bahut

    vo jis ke ḳhvāb meñ dīdār un ho jaa.e

    qasam ḳhudā vahī raat qīmtī hai bahut

    vo bol de to sabhī kuchh luTā ke ham rakh deñ

    ye sach hai un har ik baat qīmtī hai bahut

    hamāre ashk yahāñ haisiyat nahīñ rakhte

    tumhāre ashkoñ sauġhāt qīmtī hai bahut

    vo lamhe jin meñ hameñ yaad aap aa jaa.e

    vahī hayāt ke lamhāt qīmtī haiñ bahut

    ye jab bhī aate haiñ ashkoñ ko saath laate haiñ

    ye ashk aur ye barsāt qīmtī haiñ bahut

    likhe the hum ne jo ashkon ki raushnai se

    wo ishq ke bhi maqalat qimti hain bahut

    inhi se hoti hai me'raj ishq ko hasil

    ye dard aur ye jazbaat qimti hain bahut

    nisab-e-'ishq mein puchhe gae hain jo aksar

    jawab chhoDo sawalat qimti hain bahut

    hamare jine ki Dhaaras yahi bandhati hain

    tumhaari yaadon ki baraat qimti hain bahut

    wo jis ke KHwab mein didar un ka ho jae

    qasam KHuda ki wahi raat qimti hai bahut

    wo bol de to sabhi kuchh luTa ke hum rakh den

    ye sach hai un ki har ek baat qimti hai bahut

    hamare ashk yahan haisiyat nahin rakhte

    tumhaare ashkon ki saughat qimti hai bahut

    wo lamhe jin mein hamein yaad aap aa jae

    wahi hayat ke lamhat qimti hain bahut

    ye jab bhi aate hain ashkon ko sath late hain

    ye ashk aur ye barsat qimti hain bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now