Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi

Arzoo Lakhnavi

yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    yuuñ duur duur dil se ho ho ke dil-nashīñ bhī

    haiñ to isī jahāñ meñ milte nahīñ kahīñ bhī

    kam ek qabr se hai mujh ko ye kul zamīñ bhī

    mar rahne Thikānā miltā nahīñ kahīñ bhī

    tūfān-e-bahr ḳhud haiñ baḌhtī umañgeñ dil

    kashtī qarār legī ho kar na tah-nashīñ bhī

    imkāñ had ke andar koshish had se bāhar

    dil jis ko DhūñDhtā hai vo hai bhī aur nahīñ bhī

    ummīd-e-dil fitrat hai be-niyāz taskīñ

    kam ho na be-qarārī aa.e agar yaqīñ bhī

    bīm-o-rajā se dil meñ dariyā jazr-o-mad hai

    sāhil-navāz maujeñ aa.iiñ bhī aur ga.iiñ bhī

    ye multafit nigāheñ sheva viġhā hai jin

    haiñ mojib-e-sukūñ bhī hañgāma-āfrīñ bhī

    kar pahle dil pe qaabū jaame phir ḳhabar le

    dāman bachāne vaale jaatī hai āstīñ bhī

    ḳhatre meñ jaan jis se vo jaan se bhī pyārā

    rañgīñ-ezār sho.ala qātil bhī hai hasīñ bhī

    sar-gashta-e-mohabbat dār-e-mehan meñ phir kar

    dekh aa.e gosha gosha rāhat nahīñ kahīñ bhī

    nairañgī-e-talavvun lā-hal ik muamma

    samjhe jo tere tevar paḌh le ḳhat-e-jabīñ bhī

    shān-e-ġhurūr un tasvīr ik ruḳhī hai

    aur aarzū nazreñ shaidā bhī haiñ hasīñ bhī

    yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi

    hain to isi jahan mein milte nahin kahin bhi

    kam ek qabr se hai mujh ko ye kul zamin bhi

    mar rahne ka Thikana milta nahin kahin bhi

    tufan-e-bahr KHud hain baDhti umangen dil ki

    kashti qarar legi ho kar na tah-nashin bhi

    imkan ki had ke andar koshish ki had se bahar

    dil jis ko DhunDhta hai wo hai bhi aur nahin bhi

    ummid-e-dil ki fitrat hai be-niyaz taskin

    kam ho na be-qarari aae agar yaqin bhi

    bim-o-raja se dil mein dariya ka jazr-o-mad hai

    sahil-nawaz maujen aain bhi aur gain bhi

    ye multafit nigahen shewa wigha hai jin ka

    hain mojib-e-sukun bhi hangama-afrin bhi

    kar pahle dil pe qabu jame ki phir KHabar le

    daman bachane wale jati hai aastin bhi

    KHatre mein jaan jis se wo jaan se bhi pyara

    rangin-ezar shoala qatil bhi hai hasin bhi

    sar-gashta-e-mohabbat dar-e-mehan mein phir kar

    dekh aae gosha gosha rahat nahin kahin bhi

    nairangi-e-talawwun la-hal sa ek muamma

    samjhe jo tere tewar paDh le KHat-e-jabin bhi

    shan-e-ghurur un ki taswir ek ruKHi hai

    aur aarzu ki nazren shaida bhi hain hasin bhi

    Source:

    Nishaan-e-Aarzu (Pg. ebook-104 page-94)

    • Author: Anwar Husain Arzoo
      • Edition: 1968
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now