aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH

Qayem Chaandpuri

yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    yuuñ to duniyā meñ har ik kaam ke ustād haiñ shaiḳh

    par jo kuchh aap meñ fan haiñ vo kise yaad haiñ shaiḳh

    sab bande to ḳhudā ke haiñ par itnā hai farq

    giraftār-e-ta.ayyun hai ham āzād haiñ shaiḳh

    ham to mar jaa.eñ jo ik dam ye kareñ saum-o-salāt

    kyuuñ ki jiite haiñ vo jo aap ke miqtād haiñ shaiḳh

    duḳhtar-e-raz to hai beTī tire uupar harām

    riñd is rishte se saare tire dāmād haiñ shaiḳh

    thoḌī baat meñ 'qā.em' hotā hai ḳhafā

    kuchh haramzadga.īñ apnī bhī tujhe yaad haiñ shaiḳh

    yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH

    par jo kuchh aap mein fan hain wo kise yaad hain shaiKH

    sab hi bande to KHuda ke hain par itna hai farq

    tu giraftar-e-tayyun hai hum aazad hain shaiKH

    hum to mar jaen jo ek dam ye karen saum-o-salat

    kyun ki jite hain wo jo aap ke miqtad hain shaiKH

    duKHtar-e-raz to hai beTi si tere upar haram

    rind is rishte se sare tere damad hain shaiKH

    thoDi si baat mein 'qaem' ki tu hota hai KHafa

    kuchh haramzadgain apni bhi tujhe yaad hain shaiKH

    Source:

    Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website) (Pg. 50)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now