Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

za-bas-ki mashq-e-tamasha junun-alamat hai

Mirza Ghalib

za-bas-ki mashq-e-tamasha junun-alamat hai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    za-bas-ki mashq-e-tamāshā junūñ-alāmat hai

    kushād-o-bast-e-mizhah sīli-e-nadāmat hai

    na jānūñ kyūñki miTe dāġh-e-ta.an-e-bad-ahdī

    tujhe ki aa.ina bhī varta-e-malāmat hai

    ba-pech-o-tāb-e-havas silk-e-āfiyat mat toḌ

    nigāh-e-ajz sar-e-rishta-e-salāmat hai

    vafā muqābil-o-dāvā-e-ishq be-buniyād

    junūn-e-sāḳhta o fasl-e-gul qayāmat hai

    za-bas-ki mashq-e-tamasha junun-alamat hai

    kushad-o-bast-e-mizhah sili-e-nadamat hai

    na jaanun kyunki miTe dagh-e-tan-e-bad-ahdi

    tujhe ki aaina bhi warta-e-malamat hai

    ba-pech-o-tab-e-hawas silk-e-afiyat mat toD

    nigah-e-ajz sar-e-rishta-e-salamat hai

    wafa muqabil-o-dawa-e-ishq be-buniyaad

    junun-e-saKHta o fasl-e-gul qayamat hai

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 340)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now