Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zalim se mustafa ka amal chahte hain log

Ejaz Rahmani

zalim se mustafa ka amal chahte hain log

Ejaz Rahmani

MORE BYEjaz Rahmani

    zālim se mustafā amal chāhte haiñ log

    sūkhe hue daraḳht se phal chāhte haiñ log

    kaafī hai jin ke vāste chhoTā ik makāñ

    pūchhe koī to shīsh-mahal chāhte haiñ log

    saa.e māñgte haiñ ridā āftāb se

    patthar se aa.ine badal chāhte haiñ log

    kab tak kisī zulf-e-pareshāñ tazkira

    kuchh apnī uljhanoñ bhī hal chāhte haiñ log

    bār-e-ġham-e-hayāt se shāne hue haiñ shal

    uktā ke zindagī se ajal chāhte haiñ log

    rakhte nahīñ nigāh taqāzoñ pe vaqt ke

    tālāb ke baġhair kañval chāhte haiñ log

    jis ko bhī dekhiye hai vahī dushman-e-sukūñ

    kyā daur hai ki jañg-o-jadal chāhte haiñ log

    darkār hai najāt ġham-e-rozgār se

    mirrīḳh chāhte haiñ na zuhal chāhte haiñ log

    'ejāz' apne ahd maiñ tarjumān huuñ

    maiñ jāntā huuñ jaisī ġhazal chāhte haiñ log

    zalim se mustafa ka amal chahte hain log

    sukhe hue daraKHt se phal chahte hain log

    kafi hai jin ke waste chhoTa sa ek makan

    puchhe koi to shish-mahal chahte hain log

    sae ki mangte hain rida aaftab se

    patthar se aaine ka badal chahte hain log

    kab tak kisi ki zulf-e-pareshan ka tazkira

    kuchh apni uljhanon ka bhi hal chahte hain log

    bar-e-gham-e-hayat se shane hue hain shal

    ukta ke zindagi se ajal chahte hain log

    rakhte nahin nigah taqazon pe waqt ke

    talab ke baghair kanwal chahte hain log

    jis ko bhi dekhiye hai wahi dushman-e-sukun

    kya daur hai ki jang-o-jadal chahte hain log

    darkar hai najat gham-e-rozgar se

    mirriKH chahte hain na zuhal chahte hain log

    'ejaz' apne ahd ka main tarjuman hun

    main jaanta hun jaisi ghazal chahte hain log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now