Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho

Josh Malihabadi

zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    zālim ye ḳhamoshī bejā hai iqrār nahīñ inkār to ho

    ik aah to nikle toḌ ke dil naġhme na sahī jhankār to ho

    har saañs meñ sad.hā naġhme haiñ har zarre meñ lākhoñ jalve haiñ

    jaañ mahv-e-rumūz-e-sāz to ho dil jalva-gah-e-anvār to ho

    shāḳhoñ lachak har fasl meñ hai saaqī jhalak har rañg meñ hai

    sāġhar khanak har zarf meñ hai maḳhmūr to ho sarshār to ho

    kyūñkar na shab-e-mah raushan ho kyuuñ sub.h na dāman chaak kare

    kuchh vasf-e-rumūz-e-husn to ho kuchh sharh-e-jamāl-e-yār to ho

    siine meñ ḳhatā.eñ muztar haiñ in.aam vo iqrār kareñ

    mansūr hazāroñ ab bhī haiñ ai 'josh' sile meñ daar to ho

    zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho

    ek aah to nikle toD ke dil naghme na sahi jhankar to ho

    har sans mein sadha naghme hain har zarre mein lakhon jalwe hain

    jaan mahw-e-rumuz-e-saz to ho dil jalwa-gah-e-anwar to ho

    shaKHon ki lachak har fasl mein hai saqi ki jhalak har rang mein hai

    saghar ki khanak har zarf mein hai maKHmur to ho sarshaar to ho

    kyunkar na shab-e-mah raushan ho kyun subh na daman chaak kare

    kuchh wasf-e-rumuz-e-husn to ho kuchh sharh-e-jamal-e-yar to ho

    sine mein KHataen muztar hain inam ka wo iqrar karen

    mansur hazaron ab bhi hain ai 'josh' sile mein dar to ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now