aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai

Shaad Aarfi

zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    zabt-e-nāvak-e-ġham se baat ban to saktī hai

    aadmī uñglī meñ phāñs bhī khaTaktī hai

    kyā kisī navāzish poll khol maiñ ne

    aañkh jheñptī kyuuñ hai kyuuñ zabāñ bahaktī hai

    ham-qafas nasīboñ se gulsitāñ kyā rishta

    jis tarah koī Daalī TuuT kar laTaktī hai

    sāthiyo thake-māñde hārte ho himmat kyuuñ

    duur se koī manzil din meñ kab chamaktī hai

    kaam azm-o-himmat se insirām paate haiñ

    kāhilī mat suniye kāhilī to biktī hai

    jis ko nik.hat-o-gul se vāsta nahīñ hotā

    ḳhush-libās phūloñ meñ vo nazar bahaktī hai

    'shād' in añdheroñ meñ kahkashāñ manzil se

    raat ke guzarne sub.h raah taktī hai

    zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai

    aadmi ki ungli mein phans bhi khaTakti hai

    kya kisi nawazish ki poll khol di main ne

    aankh jhenpti kyun hai kyun zaban bahakti hai

    ham-qafas nasibon se gulsitan ka kya rishta

    jis tarah koi Dali TuT kar laTakti hai

    sathiyo thake-mande haarte ho himmat kyun

    dur se koi manzil din mein kab chamakti hai

    kaam azm-o-himmat se insiram pate hain

    kahili ki mat suniye kahili to bikti hai

    jis ko nikhat-o-gul se wasta nahin hota

    KHush-libas phulon mein wo nazar bahakti hai

    'shad' in andheron mein kahkashan ki manzil se

    raat ke guzarne ki subh rah takti hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 101)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now