Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye

Shahid Kamal

zaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    zaḳhm-e-jigar ko dast-e-jarāhat se pūchhiye

    jo rah ga.ī diloñ meñ vo hasrat se pūchhiye

    jāñ-dādgān-e-aish anjām kyā huā

    āvārgān-e-kūcha-e-vahshat se pūchhiye

    maiñ kho gayā huuñ apnī zarūrat bhiiḌ meñ

    maiñ kyā huuñ mujh ko merī zarūrat se pūchhiye

    afsos hai mujhe mirī ġhairat maut par

    kyuuñ hai ḳhud-kushī mirī ġhurbat se pūchhiye

    ham kyuuñ havas-parastī ilzām deñ use

    sab aaj apnī apnī mohabbat se pūchhiye

    kahte haiñ kis ko hashr qayāmat hai kis naam

    ham-sakinān-e-shahr-e-qayāmat se pūchhiye

    khulte kahāñ haiñ sab pe ye asrār harf ke

    ramz-e-suḳhan ko ahl-e-farāsat se pūchhiye

    kyuuñ vo zabāñ-darāz bhī ḳhāmosh ho gayā

    'shāhid'-kamāl us ra.ūnat se pūchhiye

    zaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye

    jo rah gai dilon mein wo hasrat se puchhiye

    jaan-dadgan-e-aish ka anjam kya hua

    aawargan-e-kucha-e-wahshat se puchhiye

    main kho gaya hun apni zarurat ki bhiD mein

    main kya hun mujh ko meri zarurat se puchhiye

    afsos hai mujhe meri ghairat ki maut par

    kyun ki hai KHud-kushi meri ghurbat se puchhiye

    hum kyun hawas-parasti ka ilzam den use

    sab aaj apni apni mohabbat se puchhiye

    kahte hain kis ko hashr qayamat hai kis ka nam

    ham-sakinan-e-shahr-e-qayamat se puchhiye

    khulte kahan hain sab pe ye asrar harf ke

    ramz-e-suKHan ko ahl-e-farasat se puchhiye

    kyun wo zaban-daraaz bhi KHamosh ho gaya

    'shahid'-kamal us ki raunat se puchhiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now