Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamane ko zamane ki paDi hai

Abdurrahman momin

zamane ko zamane ki paDi hai

Abdurrahman momin

MORE BYAbdurrahman momin

    zamāne ko zamāne paḌī hai

    hameñ va.ada nibhāne paḌī hai

    ye duniyā chāñd par pahuñchī huī hai

    tujhe lahore jaane paḌī hai

    zarā dekho idhar maiñ jal rahā huuñ

    tumheñ aañsū chhupāne paḌī hai

    fasāna haqīqat ban gayā hai

    haqīqat ko fasāne paḌī hai

    abhī jo sher likkhā bhī nahīñ hai

    abhī se vo sunāne paḌī hai

    tire mehmān vāpas rahe haiñ

    tujhe mehmān-ḳhāne paḌī hai

    vo tere dil meñ aa baiThā hai 'momin'

    tujhe dīvār Dhāne paḌī hai

    zamane ko zamane ki paDi hai

    hamein wada nibhane ki paDi hai

    ye duniya chand par pahunchi hui hai

    tujhe lahore jaane ki paDi hai

    zara dekho idhar main jal raha hun

    tumhein aansu chhupane ki paDi hai

    fasana hi haqiqat ban gaya hai

    haqiqat ko fasane ki paDi hai

    abhi jo sher likkha bhi nahin hai

    abhi se wo sunane ki paDi hai

    tere mehman wapas ja rahe hain

    tujhe mehman-KHane ki paDi hai

    wo tere dil mein aa baiTha hai 'momin'

    tujhe diwar Dhane ki paDi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now