zamin par waqt rahte aasman se lauT aaya main
zamīñ par vaqt rahte āsmāñ se lauT aayā maiñ
ḳhudā kā shukr hai shahr-e-gumāñ se lauT aayā maiñ
mujhe tum kyā batāoge hadoñ se paar kyā kyā hai
jahāñ tum jā rahe ho nā vahāñ se lauT aayā maiñ
koī manzil nahīñ hai marhale hī marhale haiñ bas
jahāñ ye sach khulā mujh par vahāñ se lauT aayā maiñ
zamin par waqt rahte aasman se lauT aaya main
KHuda ka shukr hai shahr-e-guman se lauT aaya main
mujhe tum kya bataoge hadon se par kya kya hai
jahan tum ja rahe ho na wahan se lauT aaya main
koi manzil nahin hai marhale hi marhale hain bas
jahan ye sach khula mujh par wahan se lauT aaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.