aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya

Ali Jawwad Zaidi

zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya

Ali Jawwad Zaidi

MORE BYAli Jawwad Zaidi

    zarra-e-nā-tapīda ḳhvāhish-e-āftāb kyā

    naġhma-e-nā-shunīda hausla-e-rabāb kyā

    umr dil hai muzmahil ziist hai dard-e-mustaqil

    aise nizām-e-dahr meñ vasvasa-e-azāb kyā

    naġhma ba-lab haiñ kiyāriyāñ raqs meñ zarra-e-tapāñ

    sun liyā kisht-e-ḳhushk ne zamzama-e-sahāb kyā

    chehra-e-shab damak uThā surḳh shafaq jhalak uThī

    vaqt-e-tulū kah gayā jaane āftāb kyā

    rindoñ se bāz-purs pīr-e-muġhāñ se dil-lagī

    aaj ye mohtasib ne bhī hai kahīñ sharāb kyā

    sham.a thī laakh adh-jalī bazm meñ raushnī to thī

    varna ġham-e-nashāt meñ raushni-e-gulāb kyā

    ġhair rah-guzar hai ye dost rah-guzar nahīñ

    kaun uThā.egā tujhe dekh rahā hai ḳhvāb kyā

    muddatoñ se ḳhalish jo thī jaise vo kam ho chalī

    aaj mire savāl mil gayā javāb kyā

    haañ tirī manzil-e-murād duur bahut duur hai

    phir bhī har ek moḌ par dil meñ ye iztirāb kyā

    zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya

    naghma-e-na-shunida ka hausla-e-rabab kya

    umr ka dil hai muzmahil zist hai dard-e-mustaqil

    aise nizam-e-dahr mein waswasa-e-azab kya

    naghma ba-lab hain kiyariyan raqs mein zarra-e-tapan

    sun liya kisht-e-KHushk ne zamzama-e-sahab kya

    chehra-e-shab damak uTha surKH shafaq jhalak uThi

    waqt-e-tulu kah gaya jaane aaftab kya

    rindon se baz-purs ki pir-e-mughan se dil-lagi

    aaj ye mohtasib ne bhi pi hai kahin sharab kya

    shama thi lakh adh-jali bazm mein raushni to thi

    warna gham-e-nashat mein raushni-e-gulab kya

    ghair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin

    kaun uThaega tujhe dekh raha hai KHwab kya

    muddaton se KHalish jo thi jaise wo kam si ho chali

    aaj mere sawal ka mil hi gaya jawab kya

    han teri manzil-e-murad dur bahut hi dur hai

    phir bhi har ek moD par dil mein ye iztirab kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now