zehn jab fikr-saz hota hai
zehn jab fikr-sāz hotā hai
ḳhuub rāz-o-niyāz hotā hai
'ishq nazzāra-bāz hotā hai
husn majbūr-e-nāz hotā hai
fitratan ibtidā-e-ulfat meñ
ek rang-e-majāz hotā hai
har nazar ke ḳhamosh naġhmoñ meñ
mahshar-e-soz-o-sāz hotā hai
kaun kyā hai yahāñ pe ai 'sajjād'
aaj bhī imtiyāz hotā hai
zehn jab fikr-saz hota hai
KHub raaz-o-niyaz hota hai
'ishq nazzara-baz hota hai
husn majbur-e-naz hota hai
fitratan ibtida-e-ulfat mein
ek rang-e-majaz hota hai
har nazar ke KHamosh naghmon mein
mahshar-e-soz-o-saz hota hai
kaun kya hai yahan pe ai 'sajjad'
aaj bhi imtiyaz hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.