Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zid na kar mat samay milan ka ujaD

Nasir Shahzad

zid na kar mat samay milan ka ujaD

Nasir Shahzad

MORE BYNasir Shahzad

    zid na kar mat samay milan ujaaḌ

    priit rog tujh ko degā pachhāḌ

    baiTh kar ghar meñ likh na.e ash.ār

    ke saḌkoñ pe laḌkiyoñ ko na taaḌ

    ishq aur vasl do ruḳh ik tasvīr

    raa.ī ko to samajh rahī hai pahāḌ

    dekh ab kitne shādmāñ haiñ ye log

    Daal kar mujh meñ aur tujh meñ bigāḌ

    ras har lahr ke ajab mausam

    dhuup ke poh chāñdnī ke asāḌh

    kab talak us dhun meñ ghūmegā

    boot To pe chipkī gard ko jhaaḌ

    Dhaltī raat intizār ik parchhā.īñ

    sabza bañgla siyah gulāb baaḌ

    zid na kar mat samay milan ka ujaD

    prit ka rog tujh ko dega pachhaD

    baiTh kar ghar mein likh nae ashaar

    ja ke saDkon pe laDkiyon ko na taD

    ishq aur wasl do ruKH ek taswir

    rai ko to samajh rahi hai pahaD

    dekh ab kitne shadman hain ye log

    Dal kar mujh mein aur tujh mein bigaD

    ras ki har lahr ke ajab mausam

    dhup ke poh chandni ke asaDh

    kab talak us ki dhun mein ghumega

    boot ki To pe chipki gard ko jhaD

    Dhalti raat intizar ek parchhain

    sabza bangla siyah gulab ki baD

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 512)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now