zist kam lagti thi dushwar ziyaada nikli
ziist kam lagtī thī dushvār ziyāda niklī
mere andāz se har baar ziyāda niklī
koī rauzan na jharokā na koī darvāza
merī tā'mīr meñ dīvār ziyāda niklī
ye mirī maut ke asbāb meñ likkhā hogā
ḳhuun meñ 'ishq kī miqdār ziyāda niklī
kitnī jaldī diyā ghar vāloñ ko phal aur saaya
mujh se to peḌ kī raftār ziyāda niklī
tū samajhtā thā mujhe tū ne hī bartā hai 'umair'
zindagī tujh se bhī fankār ziyāda niklī
zist kam lagti thi dushwar ziyaada nikli
mere andaz se har bar ziyaada nikli
koi rauzan na jharoka na koi darwaza
meri ta'mir mein diwar ziyaada nikli
ye meri maut ke asbab mein likkha hoga
KHun mein 'ishq ki miqdar ziyaada nikli
kitni jaldi diya ghar walon ko phal aur saya
mujh se to peD ki raftar ziyaada nikli
tu samajhta tha mujhe tu ne hi barta hai 'umair'
zindagi tujh se bhi fankar ziyaada nikli
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 54)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.