zinda hun main bas mujhe pata hai
zinda huuñ maiñ bas mujhe pata hai
ye shahr to mujh ko ro chukā hai
shāḳhoñ pe charāġh bujh rahe haiñ
is rut ke laboñ pe bad-du'ā hai
furqat se nahīñ hai rabt is kā
ye ranj alag qabīl kā hai
mahdūd rakho ye sog ḳhud tak
ab jashn shurū' ho chukā hai
maiñ to isī rut meñ jhūmtā huuñ
patjhaḌ meñ sharāb sā nasha hai
is rang se fāsla thā pahle
ye rang jo mujh pe khil rahā hai
vo jo hai murīd nīm-shab kā
aaj aaTh baje hī so gayā hai
zinda hun main bas mujhe pata hai
ye shahr to mujh ko ro chuka hai
shaKHon pe charagh bujh rahe hain
is rut ke labon pe bad-du'a hai
furqat se nahin hai rabt is ka
ye ranj alag qabil ka hai
mahdud rakho ye sog KHud tak
ab jashn shuru' ho chuka hai
main to isi rut mein jhumta hun
patjhaD mein sharab sa nasha hai
is rang se fasla tha pahle
ye rang jo mujh pe khil raha hai
wo jo hai murid nim-shab ka
aaj aaTh baje hi so gaya hai
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 52)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.