aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se

Shanawar Ishaq

zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se

Shanawar Ishaq

MORE BYShanawar Ishaq

    zindagī bach nikaltī hai har jañg meñ vaqt ke vaar se

    phir Tapaktā hai ik baar lamhoñ ḳhuuñ saañs dhaar se

    kitne shahroñ ālūdgī ko havā ne ikaTThā kiyā

    aur marne pe aa.e to ham mar ga.e gul mahkār se

    dard vaale to īmān le aa.eñ haiñ lafz par sāhibo!

    lafz kyā shai hai pūchho ye fankār se azā-dār se

    Dūbte vaqt māñjhī se dariyā ne bā-dīda-e-nam kahā

    koī kashtī kināre lagī hai kabhī ek patvār se!

    dil yahī chāhtā thā 'shanāvar' sitāroñ muñh noch luuñ!

    shahr ko maiñ ne dekhā thā ik raat masjid ke mīnār se

    zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se

    phir Tapakta hai ek bar lamhon ka KHun sans ki dhaar se

    kitne shahron ki aaludgi ko hawa ne ikaTTha kiya

    aur marne pe aae to hum mar gae gul ki mahkar se

    dard wale to iman le aaen hain lafz par sahibo!

    lafz kya shai hai puchho ye fankar se ya aza-dar se

    Dubte waqt manjhi se dariya ne ba-dida-e-nam kaha

    koi kashti kinare lagi hai kabhi ek patwar se!

    dil yahi chahta tha 'shanawar' sitaron ka munh noch lun!

    shahr ko main ne dekha tha ek raat masjid ke minar se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now