Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ek tilismat ka aaina hai

Hayat Warsi

zindagi ek tilismat ka aaina hai

Hayat Warsi

MORE BYHayat Warsi

    zindagī ek tilismāt ā.īna hai

    din jise kahte haiñ vo raat ā.īna hai

    jo bhī kahnā ho tujhe merī taraf dekh ke kah

    merā chehra tire jazbāt ā.īna hai

    shaḳhsiyat meñ tirī utnī chamak bhī hogī

    jitnā raushan tirī ḳhidmāt ā.īna hai

    ahd-e-nau lafzoñ ke mafhūm se vāqif nahīñ

    kitnā be-aks ḳhayālāt ā.īna hai

    ab buzurgoñ virāsat bhī nahīñ hai mahfūz

    dhuñdhlā dhuñdlā rivāyāt ā.īna hai

    tere ruḳhsār ġhāza haiñ badalte mausam

    zulf-e-barham tirī barsāt ā.īna hai

    zindagi ek tilismat ka aaina hai

    din jise kahte hain wo raat ka aaina hai

    jo bhi kahna ho tujhe meri taraf dekh ke kah

    mera chehra tere jazbaat ka aaina hai

    shaKHsiyat mein teri utni hi chamak bhi hogi

    jitna raushan teri KHidmat ka aaina hai

    ahd-e-nau lafzon ke mafhum se waqif hi nahin

    kitna be-aks KHayalat ka aaina hai

    ab buzurgon ki wirasat bhi nahin hai mahfuz

    dhundhla dhundla sa riwayat ka aaina hai

    tere ruKHsar ka ghaza hain badalte mausam

    zulf-e-barham teri barsat ka aaina hai

    Source:

    Roshni Aur Khushboo (Pg. 56)

    • Author: Hayat Warsi
      • Publisher: Hayat Warsi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now