Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi hi zindagi chaaron taraf hai

Masoom Ansari

zindagi hi zindagi chaaron taraf hai

Masoom Ansari

MORE BYMasoom Ansari

    zindagī zindagī chāroñ taraf hai

    aañkh ho to raushnī chāroñ taraf hai

    kyā zamīñ kyā āsmāñ kyā dasht-o-dariyā

    aadmī bartarī chāroñ taraf hai

    ek markaz par Thahartā nahīñ hai

    zehn āvārgī chāroñ taraf hai

    dekhiye to hai ujālā ujālā

    sochiye to tīrgī chāroñ taraf hai

    aañkh se ojhal tirā chehra hai lekin

    ik alāmat tirī chāroñ taraf hai

    kuchh na kuchh hai āj-kal meñ hone vaalā

    ik mukammal ḳhāmushī chāroñ taraf hai

    chhoḌ kar jaate ho ghar 'ma.asūm' sāhab

    soch lo duniyā yahī chāroñ taraf hai

    zindagi hi zindagi chaaron taraf hai

    aankh ho to raushni chaaron taraf hai

    kya zamin kya aasman kya dasht-o-dariya

    aadmi ki bartari chaaron taraf hai

    ek markaz par Thaharta hi nahin hai

    zehn ki aawargi chaaron taraf hai

    dekhiye to hai ujala hi ujala

    sochiye to tirgi chaaron taraf hai

    aankh se ojhal tera chehra hai lekin

    ek alamat si teri chaaron taraf hai

    kuchh na kuchh hai aaj-kal mein hone wala

    ek mukammal KHamushi chaaron taraf hai

    chhoD kar jate ho ghar 'masum' sahab

    soch lo duniya yahi chaaron taraf hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now