Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ye to nahin tujhko sanwara hi na ho

Jan Nisar Akhtar

zindagi ye to nahin tujhko sanwara hi na ho

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    zindagī ye to nahīñ tujh ko sañvārā na ho

    kuchh na kuchh ham ne tirā qarz utārā na ho

    dil ko chhū jaatī hai yuuñ raat āvāz kabhī

    chauñk uThtā huuñ kahīñ ne pukārā na ho

    kabhī palkoñ pe chamaktī hai jo ashkoñ lakīr

    sochtā huuñ tire āñchal kinārā na ho

    zindagī ek ḳhalish de ke na rah mujh ko

    dard vo de jo kisī tarah gavārā na ho

    sharm aatī hai ki us shahr meñ ham haiñ ki jahāñ

    na mile bhiik to lākhoñ guzārā na ho

    zindagi ye to nahin tujh ko sanwara hi na ho

    kuchh na kuchh hum ne tera qarz utara hi na ho

    dil ko chhu jati hai yun raat ki aawaz kabhi

    chaunk uThta hun kahin tu ne pukara hi na ho

    kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakir

    sochta hun tere aanchal ka kinara hi na ho

    zindagi ek KHalish de ke na rah ja mujh ko

    dard wo de jo kisi tarah gawara hi na ho

    sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan

    na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jan Nisar Akhtar

    Jan Nisar Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now