Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zor paida jism o jaan ki na-tawani se hua

Muneer Niyazi

zor paida jism o jaan ki na-tawani se hua

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    zor paidā jism o jaañ nā-tavānī se huā

    shor shahroñ meñ musalsal be-zabānī se huā

    der tak zindagī ḳhvāhisheñ us but ko haiñ

    shauq us ko intihā umr-e-fānī se huā

    maiñ huā nākām apnī be-yaqīnī ke sabab

    jo huā sab mere dil bad-gumānī se huā

    hai nishāñ merā bhī shāyad shash-jihāt-e-dahr meñ

    ye gumāñ mujh ko ḳhud apnī be-nishānī se huā

    thā 'munīr' āġhāz se rāsta apnā ġhalat

    is andāza safar rā.igānī se huā

    zor paida jism o jaan ki na-tawani se hua

    shor shahron mein musalsal be-zabani se hua

    der tak ki zindagi ki KHwahishen us but ko hain

    shauq us ko intiha ka umr-e-fani se hua

    main hua nakaam apni be-yaqini ke sabab

    jo hua sab mere dil ki bad-gumani se hua

    hai nishan mera bhi shayad shash-jihat-e-dahr mein

    ye guman mujh ko KHud apni be-nishani se hua

    tha 'munir' aaghaz hi se rasta apna ghalat

    is ka andaza safar ki raigani se hua

    Source:

    kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 615)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now