Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf-e-shab-rang jo banai hai

Sakhi Lakhnvi

zulf-e-shab-rang jo banai hai

Sakhi Lakhnvi

MORE BYSakhi Lakhnvi

    zulf-e-shab-rañg jo banā.ī hai

    un dinoñ shāne ban aa.ī hai

    haif sābit hai jeb ne dāman

    aur junūn meñ bahār aa.ī hai

    kahe parvāna sham.a-rū tujh ko

    us āñkhoñ meñ charbī chhā.ī hai

    merī un bigāḌ hone se

    ḳhuub aġhyār ban aa.ī hai

    paanī māñgegā kyā dahān-e-zaḳhm

    teġh ik āb-dār kahānī hai

    kalima un butoñ ne paḌhvāyā

    ḳhūb-rūī hai ḳhudā.ī hai

    hama-tan ho ga.e haiñ ā.īna

    ḳhud-numā.ī ḳhud-numā.ī hai

    yaar se ho bhalā raqīboñ

    ai 'saḳhī' bas yahī burā.ī hai

    zulf-e-shab-rang jo banai hai

    un dinon shane ki ban aai hai

    haif sabit hai jeb ne daman

    aur junun mein bahaar aai hai

    kahe parwana shama-ru tujh ko

    us ki aankhon mein charbi chhai hai

    meri un ki bigaD hone se

    KHub aghyar ki ban aai hai

    pani mangega kya dahan-e-zaKHm

    tegh ek aab-dar kahani hai

    kalima un buton ne paDhwaya

    KHub-rui hai ya KHudai hai

    hama-tan ho gae hain aaina

    KHud-numai si KHud-numai hai

    yar se ho bhala raqibon ka

    ai 'saKHi' bas yahi burai hai

    Source:

    Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-164 page-159)

    • Author: Sakhi Lakhnvi
      • Edition: 1882
      • Publisher: Daruttaba Bandobast, Hyderabad
      • Year of Publication: 1882
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now