Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulfon ki chhanw chhanw ruKH-e-la-jawab tha

Aasi Faiqi

zulfon ki chhanw chhanw ruKH-e-la-jawab tha

Aasi Faiqi

MORE BYAasi Faiqi

    zulfoñ chhāñv chhāñv ruḳh-e-lā-javāb thā

    vo be-naqāb hote hue bā-naqāb thā

    mahv-e-ḳhirām-e-nāz adā.eñ shabāb thā

    vo din havā hue ki pasīna gulāb thā

    jalva-numā.iyoñ meñ huī ġharq-e-tishnagī

    aks-e-jamāl-e-yār ba-jām-e-sharāb thā

    asp-e-ravān-e-ahd-e-javānī manzileñ

    vo merā ham-rikāb meñ pā-ba-rikāb thā

    mujh se ġham-e-hayāt kaifiyyateñ na pūchh

    shabnam tarah ashk tabassum-ma.āb thā

    maiñ jis ke ḳhvāb dekh rahā thā makān meñ

    vo apne bed-rōm meñ ḳhud mahv-e-ḳhvāb thā

    nākāmiyoñ nazar na 'āsī' huā kabhī

    fankār apne fan meñ bahut kāmyāb thā

    zulfon ki chhanw chhanw ruKH-e-la-jawab tha

    wo be-naqab hote hue ba-naqab tha

    mahw-e-KHiram-e-naz adaen shabab tha

    wo din hawa hue ki pasina gulab tha

    jalwa-numaiyon mein hui gharq-e-tishnagi

    aks-e-jamal-e-yar ba-jam-e-sharab tha

    asp-e-rawan-e-ahd-e-jawani ki manzilen

    wo mera ham-rikab mein pa-ba-rikab tha

    mujh se gham-e-hayat ki kaifiyyaten na puchh

    shabnam ki tarah ashk tabassum-maab tha

    main jis ke KHwab dekh raha tha makan mein

    wo apne bed-room mein KHud mahw-e-KHwab tha

    nakaamiyon ki nazar na 'asi' hua kabhi

    fankar apne fan mein bahut kaamyab tha

    Source:

    Zar-e-Gul (Pg. 56)

    • Author: Aasi Faiqi
      • Publisher: Noorul Hasan Wakil
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now