Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum kahan ruswa hue ruswaiyon ko kya KHabar

Kunwar Bechain

hum kahan ruswa hue ruswaiyon ko kya KHabar

Kunwar Bechain

MORE BYKunwar Bechain

    ham kahāñ rusvā hue rusvā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    Duub kar ubhre na kyuuñ gahrā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    zaḳhm kyuuñ gahre hue hote rahe hote ga.e

    jism se bichhḌī huī parchhā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    kyuuñ taḌaptī rahīñ dil meñ hamāre bijliyāñ

    kyuuñ ye dil bādal banā añgḌā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    kaun pāgal dhuneñ pāgal banātīñ haiñ hameñ

    hoñTh se lipTī huī shahnā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    kis qadar tanhā hue ham shahr is bhiiḌ meñ

    ye bhaTaktī bhiiḌ tanhā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    kab kahāñ ghāyal huiiñ pāgal nadī uñgliyāñ

    barf meñ Thahrī huī ūñchā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    kyuuñ purānā dard uThThā hai kisī dil meñ 'kuñvar'

    ye ġhazal gaatī huī purvā.iyoñ ko kyā ḳhabar

    hum kahan ruswa hue ruswaiyon ko kya KHabar

    Dub kar ubhre na kyun gahraiyon ko kya KHabar

    zaKHm kyun gahre hue hote rahe hote gae

    jism se bichhDi hui parchhaiyon ko kya KHabar

    kyun taDapti hi rahin dil mein hamare bijliyan

    kyun ye dil baadal bana angDaiyon ko kya KHabar

    kaun si pagal dhunen pagal banatin hain hamein

    honTh se lipTi hui shahnaiyon ko kya KHabar

    kis qadar tanha hue hum shahr ki is bhiD mein

    ye bhaTakti bhiD ki tanhaiyon ko kya KHabar

    kab kahan ghayal huin pagal nadi ki ungliyan

    barf mein Thahri hui unchaiyon ko kya KHabar

    kyun purana dard uThTha hai kisi dil mein 'kunwar'

    ye ghazal gati hui purwaiyon ko kya KHabar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now