Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai

Meer Anees

dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai

Meer Anees

MORE BYMeer Anees

    dasht-e-viġha meñ nūr-e-ḳhudā zuhūr hai

    dasht-e-viġhā meñ nūr-e-ḳhudā zuhūr hai

    zarroñ meñ raushnī-e-tajallī-e-tūr hai

    ik āftāb-e-ruḳh ziyā duur duur hai

    kosoñ zamīn aks se dariyā-e-nūr hai

    allāh-re husn tabqa-e-ambar-sarisht

    maidān-e-karbalā hai namūna bahisht

    hairāñ zamīñ ke nuur se hai charḳh-e-lājvard

    mānind-e-kahrubā hai ruḳh-e-āftāb-e-zard

    hai rū-kash-e-fazā-e-iram vādi-e-nabard

    uThtā hai ḳhaak se tataq-e-nūr jā-e-gard

    hairat se hāmilān-e-falak un ko takte haiñ

    zarre nahīñ zamīñ pe sitāre chamakte haiñ

    hai āb-e-nahr sūrat-e-ā.īna jalva-gar

    tābāñ hai misl-e-chashma-e-ḳhurshīd har bhañvar

    lahreñ bisān-e-barq chamaktī haiñ sar-ba-sar

    paanī pe machhliyoñ Thahartī nahīñ nazar

    ye āb-o-tāb hai ki guhar aab aab haiñ

    dariyā to āsmāñ haiñ sitāre hubāb haiñ

    partav-fagan huā jo ruḳh-e-qibla-e-anām

    mash.hūr ho ga.ī vo zamīñ arsh-ehtishām

    aur sañg-reze durr-e-najaf ban ga.e tamām

    sahrā ko mil gayā sharaf-e-vādī-assalām

    kaabe se aur najaf se bhī izzat sivā huī

    ḳhaak us zamīn-e-pāk ḳhāk-e-shifā huī

    phailā jo nūr-e-mahr-e-imāmat dam-e-zavāl

    zarroñ se vaañ ke aañkh milānā huā muhāl

    saare nihāl faiz-e-qadam se hue nihāl

    aḳhtar bane jo phuul to shāḳheñ banīñ hilāl

    patte tamām ā.īna-e-nūr ho ga.e

    sahrā ke naḳhl sab shajar-e-tūr ho ga.e

    ġhul thā zahe husain shaukat zahe vaqār

    goyā khaḌe haiñ jañg ko mahbūb-e-kirdgār

    ruḳh se ayaañ hai dabdaba-e-shāh-e-zul-fiqār

    hai nūr-e-haq jabīn-e-munavvar se āshkār

    kyūñkar chhupe na māh-e-do-hafta hijāb se

    chauda tabaq meñ nuur hai us āftāb se

    ye rū-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-fām

    yaañ shaam meñ to sub.h hai aur sub.h meñ hai shaam

    haale meñ yuuñ nazar nahīñ aatā hai mah tamām

    qudarat ḳhudā nuur zulmat meñ hai maqām

    zulfoñ meñ jalva-gar nahīñ chehra janāb

    hai nisf shab meñ aaj zuhūr āftāb

    qurbāñ kamān-e-abrū-e-maulā pe jaan o dil

    gar māh-e-nau kaheñ to hai tashbīh mubtazil

    chashm-e-ġhazāl-e-dasht-e-ḳhutan chashm se ḳhajil

    dekhā jise karam se ḳhatā.eñ huiiñ bahil

    putlī bisān-e-qibla-numā be-qarār hai

    giryāñ haiñ vo ye gardish-e-lail o nahār hai

    ruḳhsār haiñ ziyā meñ qamar se ziyāda-tar

    jin par Thahar sakī na kabhī shams nazar

    rīsh-e-moḳhazzab aur ye ruḳh-e-shāh-e-bahr o bar

    paidā haiñ saaf ma.anī-e-val-lailo-o-val-qamar

    qur.ān se ayaañ hai buzurgī imaam

    khaa.ī qasam ḳhudā ne isī sub.h o shaam

    kis muñh se kījiye lab-e-jān-baḳhsh bayāñ

    chūsī jinhoñ ne ahmad muḳhtār zabāñ

    kyā durr-e-āb-dār haiñ is durj meñ nihāñ

    goyā ki motiyoñ ḳhazāna hai ye dahāñ

    zarre zamīñ pe aks se saare chamak ga.e

    jis vaqt ye khile to sitār chamak ga.e

    sham-e-harīm-e-lam-yazalī thā gulū-e-shāh

    tārīk shab meñ jaise huvaidā ho nūr-e-māh

    ai charḳh-e-be-madār ye kaisā sitam hai aah

    shamshīr-e-shimr aur mohammad bosa-gāh

    jis par rasūl hoñToñ ko malte hoñ pyaar se

    kaT jaa.e karbalā maiñ vo ḳhanjar dhaar se

    manzūr yaañ thī mad.h-e-gulū-e-shah-e-umam

    yaad aa ga.ī magar ye hadīs-e-ġham-o-alam

    masjid meñ jalva-gar the rasūl-e-falak-hasham

    malte the zikr-e-haq meñ lab-e-pāk dam-ba-dam

    raushan the bām-o-dar ruḳh-e-raushan ke nuur se

    ā.īna ban ga.ī thī zamīñ tan ke nuur se

    thā jo sutūñ ki rukn-e-risālat takiya-gāh

    kursī bhī us pusht thī DhūñDhtī panāh

    thā jis hasīr par vo do aalam bādshāh

    hasrat se arsh kartā thā us farsh par nigāh

    auj-e-zamīñ bahisht-e-barīñ se do-chand thā

    mimbar nuh falak se bhī paaya buland thā

    as.hāb-e-ḳhās gird the anjum tarah sab

    tābāñ thā biich meñ vo mah-e-hāshmī-laqab

    sar par malak-sifāt magas-rāañ the do arab

    jibrīl tah kiye hue the zānu-e-adab

    ḳhādim bilāl-o-qumbar-e-gardūñ-asās thā

    nālain is ke paas asā us ke paas thā

    gesū the vo mufassir-e-vallail-izā-sajā

    ruḳh se ayaañ the ma.anī-e-vashshams-o-va-zzuhā

    vo rīsh-e-pāk aur ruḳh-e-sardār-e-ambiyā

    goyā dharā thā rehl pe qur.āñ khulā huā

    oḌhe siyah abā jo vo ālam-panāh thā

    kaaba saaf hājiyoñ ko ishtibāh thā

    pahlū meñ bādshāh ke thā jalva-gar vazīr

    sardār-e-dīñ alī-e-valī ḳhalq amiir

    donoñ jahāñ meñ koī na donoñ thā nazīr

    ahmad the āftāb to haidar mah-e-munīr

    zāhir meñ ek nuur do zuhūr thā

    gar ġhaur kījiye to vahī ek nuur thā

    masrūf-e-vāz-o-pand the sultān-e-mashriqain

    jo ghar se nikle khelte zohrā ke nuur ain

    naanā baġhair donoñ navāsoñ ko thā na chain

    baḌh jaate the hasan kabhī aage kabhī husain

    kahte the dekheñ kaun qadam jald uThātā hai

    naanā ke paas kaun bhalā pahle jaatā hai

    vo gore gore chehroñ pe zulfeñ idhar udhar

    aḳhtar se vo chamakte hue kaan ke guhar

    rashk-e-hilāl tauq gale ġhairat-e-qamar

    haikal pe naqsh naam ḳhudā-e-jalīl ke

    tāvīz gardanoñ pe par-e-jibrīl ke

    masjid meñ aa.e hañste hue jab vo gul-badan

    ḳhushbū se sehan-e-masjid-e-jāme banā chaman

    taslīm ko husain se pahle jhuke hasan

    ḳhush ho ke muskurāne lage sarvar-e-zaman

    baḌh baḌh ke ḳham salām ko chhoTe baḌe hue

    baiThe rahe rasūl malak uTh khaḌe hue

    beToñ ko thā alī ishāra ki baiTh jaao

    lāzim nahīñ ki vaaz meñ naanā ko tum satāo

    phailā ke haath bole mohammad ki aao aao

    shabbīr ne kahā hameñ pahle gale lagāo

    bhaa.ī hasan jo aap godī meñ aa.eñ ge

    ham tum se naanā jaan abhī ruuTh jaa.eñ ge

    bole hasan ki vaah hameñ aur kareñ na pyaar

    iqrār ke chuke haiñ shahanshāh-e-nām-dār

    bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-vaqār

    dekheñ to kaun kāñdhe pe hotā hai ab savār

    sab se sivā jo haiñ so hamīñ un ke pyāre haiñ

    aage na baḌhiye aap ki naanā hamāre haiñ

    bhaa.ī se tab kahā ye hasan ne ba-iltifāt

    be-vaj.h ham se rūThe ho tum ai niko-sifāt

    naanā hamāre kyā nahīñ sultān-e-kā.enāt

    hotī hai nāgavār tumheñ to zarā baat

    ġhussa na itnā chāhiye ḳhush-ḳhū ke vāste

    machle the yuuñ bachcha-e-āhū ke vāste

    ye sun ke muñh alī lage dekhne rasūl

    hañs kar kahā ye donoñ haiñ mere chaman ke phuul

    maiñ chāhtā huuñ ek ḳhātir na ho malūl

    ro.eñge ye to ghar se nikal aa.egī butūl

    hove na rañj mere kisī nūr-e-ain ko

    tum lo hasan ko god meñ maiñ luuñ husain ko

    shabbar se phir ishāra kiyā ho ke be-qarār

    ġhussa na khaao pahle tumhīñ ko kareñge pyaar

    phir bole dekh kar sū-e-shabbīr-e-nām-dār

    aa ai husain aa tirī bātoñ ke maiñ nisār

    chhātī se ham lagā.eñge jaan apnī jaan kar

    dekheñ to pahle kaun lipaTtā hai aan kar

    dauḌe ye baat sun ke barābar vo ḳhush-sayar

    paas aa.e āftāb-e-risālat ke do qamar

    lipTe husain hañs ke idhar aur hasan udhar

    the paañv zānūoñ pe to bālā-e-dosh sar

    naanā ke saath pyaar meñ donoñ saath thā

    gardan meñ ek un aur un haath thā

    phir phir ke dekhte the shahanshāh-e-mashriqain

    gah jānib-e-hasan to kabhī jānib-e-husain

    baiThe jo zānūoñ pe vo zehrā ke nūr-e-ain

    thā tan ko lutf qalb ko rāhat jigar ko chain

    jhuk jhuk ke muñh rasūl-e-zaman chūmne lage

    in galā to un dahan chūmne lage

    shabbīr chāhte the ki chūmeñ mire bhī lab

    par kuchh gale ke bosoñ khultā na thā sabab

    naanā ke muñh ke paas ye laate the muñh ko jab

    jhuk jhuk ke chūmte the galā sayyad-e-arab

    bhaa.ī ko dekh kar jo hasan muskurāte the

    ġhairat se un āñkhoñ meñ aañsū bhar aate the

    uTThe husain zānū-e-ahmad se ḳhashm-gīñ

    ġhusse se rañg zard aur āñkhoñ pe āstīñ

    ruḳh par pasīna jism meñ ra.asha jabīñ pa chiiñ

    pūchhā kidhar chale to ye bole kahīñ nahīñ

    ghar meñ akele tevarī chaḌhā.e chale ga.e

    dekhā na phir ke sar ko jhukā.e chale ga.e

    baitushsharf meñ aa.e jo shabbīr-e-nām-dār

    kurte ko muñh pe rakh ke lage rone zār-zār

    dauḌīñ ye kah ke fāima-zehrā jigar-figār

    hai hai husain kyā huā kyuuñ hai ashk-bār

    tujh ko rulā ke ġham meñ mujhe mubtalā kiyā

    qurbān ho ga.ī tujhe kis ne ḳhafā kiyā

    merā kaleja phahTtā hai ai dilrubā na ro

    zehrā hazār jaan se tujh pe fidā na ro

    sar meñ na dard ho kahīñ ai mah-laqā na ro

    bas bas na ro husain barā-e-ḳhudā na ro

    merī taraf to dekho ki betāb hotī huuñ

    chādar se muñh ko Dhāñp ke lo maiñ bhī rotī huuñ

    muñh to khol ai mire shabbīr-e-ḳhush-ḳhisāl

    tar ho ga.e haiñ āñsuoñ se gore gore gaal

    mal mal ke pusht-e-dast se aañkh karo na laal

    suljhā.ūñ aao uljhe hue gesuoñ ke baal

    ghar se ga.e the saath judā ho ke aa.e ho

    samjhī maiñ kuchh hasan se ḳhafā ho ke aa.e ho

    tum chup raho vo ghar meñ to masjid se phir ke aa.eñ

    guzrī maiñ khel se mire bachche ko kyuuñ rulā.eñ

    un se na boliyo vo tumheñ laakh gar manā.eñ

    lo aao jaane do tumheñ chhātī se ham lagā.eñ

    vaarī agar hasan ne rulāyā burā kiyā

    pūchhūñgī kyā na maiñ mire pyāre ne kyā kiyā

    bole husain ham to haiñ is baat par ḳhafā

    naanā ne chūme bhaa.ī ke hoñT aur mirā galā

    tum ammāñ-jān muñh ko to sūñgho mire zarā

    kuchh bū-e-nāgavār hai mere dahan meñ kyā

    bhaa.ī ke lab se apne laboñ ko milāte haiñ

    ab ham na jaa.eñ ge hameñ naanā rulāte haiñ

    muñh rakh ke muñh pe bolī ye zehrā jigar-figār

    bū-e-gulāb aatī hai ai mere gul-azār

    chūmā agar galā to ḳhafā ho na maiñ nisār

    tum ko zabāñ chūsāte the mahbūb-e-kirdgār

    ye mushk meñ mahak na gul-e-yāsman meñ hai

    ḳhush-bū usī dahan tumhāre dahan meñ hai

    kahne lage husain ye maañ se ba-chashm-e-nam

    kyā jaano tum hasan se hameñ chāhte haiñ kam

    ye kyā unhīñ pe lutf-o-ināyat hai dam-ba-dam

    mālūm ho gayā unheñ pyāre nahīñ haiñ ham

    ro ro ke aaj jaan ham apnī gañvā.eñge

    paanī na ab piyeñge na khāne ko khā.eñge

    ye baat sun ke ho gayā zehrā rañg faq

    bolī pisar se ro ke vo bint-e-rasūl-e-haq

    sadqe ga.ī karo na kaleje ko mere shaq

    hai hai ye kyā kahā mujhe hotā hai ab qalaq

    merā lahū bahegā jo aañsū bahāoge

    kaahe ko maañ jiyegī jo khānā na khāoge

    ye kah ke oḌh sar-e-pur-nūr par ridā

    moze pahan ke god meñ shabbīr ko liyā

    dar tak ga.ī jo ghar se vo dil-band-e-mustafā

    fizza ne baḌh ke būzar o salmāñ ko sadā

    pesh-e-nabī husain ko godī meñ laatī haiñ

    haT jaao sab ki fātima masjid meñ aatī haiñ

    allāh-re aamad āmad-e-zehrā bandobast

    sātoñ falak the auj-e-sharāfat se jis ke past

    ahmad ke gird-o-pesh se uTThe ḳhudā-parast

    insāñ to kyā malak ko na thī qudarat-e-nishast

    aa.iiñ to shād-shād rasūl-e-zaman hue

    ghar meñ ḳhudā ke ek jagah panj-tan hue

    tāzīm-e-fātima ko uThe sayyad-ul-bashar

    dekhā ki chashm-e-fātima hai āñsuoñ se tar

    ġham the husain dosh pe maañ ke jhukā.e sar

    thā ik hilāl mahr ke pahlū meñ jalva-gar

    maañ kahtī thī na rovo magar chup na hote the

    āñkheñ thiiñ band hichkiyāñ le le ke rote the

    ghabrā ke pūchhne lage mahbūb-e-zul-jalāl

    rotā hai kyuuñ husain ye kyā hai tumhārā haal

    bolīñ butūl aaj qalaq hai mujhe kamāl

    royā hai ye husain ki āñkheñ haiñ donoñ laal

    aate haiñ hañste rote hue ghar meñ jaate haiñ

    shafqat bhī aap karte haiñ aap rulāte haiñ

    hāthoñ ko joḌtī huuñ maiñ shāh-e-bahr-o-bar

    shafqat us ke haal pe har-dam rahe nazar

    rone se us ke hotā hai TukḌe mirā jigar

    mujh fāqa-kash ġharīb pyārā hai ye pisar

    haidar se pūchhiye mire usrat ke haal ko

    kis kis dukhoñ se paalā hai is naunihāl ko

    ashk us ke jitne Tapke haiñ shāh-e-nek-ḳhū

    utnā ghaT gayā hai mire jism lahū

    ro.e haiñ phuuT phuuT ke ye mere rū-ba-rū

    tar ho gayā hai āñsuoñ se chāñd gulū

    dekhā na thā ye maiñ ne jo haal is aaj hai

    hazrat to jānte haiñ ki nāzuk mizāj hai

    shafqat se aaj aap ne chūme hasan ke lab

    bosa liyā na un ke laboñ ye kyā sabab

    rutbe meñ donoñ ek haiñ survar-e-arab

    maiñ sach kahūñ ye sun ke mujhe bhī huā ojab

    is ko jo ho ḳhushī to dil is bhī shaad ho

    chhoTe se chāhiye ki mohabbat ziyād ho

    aap un ke naaz uThāte haiñ shāh-e-bahr-o-bar

    phir kis se rūTheñ aap se rūTheñ na ye agar

    aksar inheñ chaḌhāyā hai hazrat ne dosh par

    gesū diye haiñ nanhe se hāthoñ meñ besh-tar

    rūThe the ye so qadmoñ pe sar dharne aa.e haiñ

    muñh ke na chūmne gilā karne aa.e haiñ

    ye kah ke phir husain se bolīñ ba-chashm-tar

    lo ke ab nabī ke qadam par jhukāo sar

    aa.e husain haath jo nanhe se joḌ kar

    be-iḳhtiyār rone lage sayyad-ul-bashar

    rah rah ke dekhte the alī o butūl ko

    nazdīk thā qalaq se ġhash aa.e rasūl ko

    thī āñsuoñ se rīsh-e-mubārak tamām nam

    fart-e-bukā se ḳhaak pa jhukte the dam-ba-dam

    gaahe sutūñ se lag ke hue raast gaah ḳham

    har lahza iztirāb ziyāda thā sabr kam

    ho saktā thā na zabt shah-e-mashriqain se

    rote the baar baar lipaT kar husain se

    shabbīr ro ke kahte the naanā na roiye

    ro.eñge ab na ham shah-e-vālā na roiye

    hilne lagegā arsh-e-muallā na roiye

    phaTtā hai ab hamārā kaleja na roiye

    sau baar din meñ ham to muñh ashkoñ se dhote haiñ

    hazrat hamāre rone pe kaahe ko rote haiñ

    ghabrā ga.e alī-e-valī shāh-e-bahr-o-bar

    arz fātima ne jhukā ke qadam pe sar

    beTī nisār ho ga.ī sayyad-ul-bashar

    kyā vaj.h hai jo aap haiñ is tarah nauha gar

    jaldī batā.iye ki mujhe taab ab nahīñ

    ronā ḳhudā ke dost ye be-sabab nahīñ

    hazrat ko ilm-e-ġhaib hai shāh-e-ins-o-jāñ

    ā.inda o guzishta sab haal hai ayaañ

    kyā aa.ī aaj vahī-e-ḳhudāvand-e-do-jahāñ

    honā hai jo husain pe mujh se karo bayāñ

    fāqoñ se kāTtī huuñ musībat jahān

    kyuuñ bāba-jān ḳhair to hai is jaan

    bole jigar ko thaam ke mahbūb-e-zul-jalāl

    tujh se sunā na jā.egā ai fātima ye haal

    kis muñh se maiñ kahūñ ki qalaq hai mujhe kamāl

    zehrā shahīd hue hoveñge tere ye donoñ laal

    mātam ye ḳhabar abhī jibrīl laa.e the

    saare malak husain ke purse ko aa.e the

    almās ke huegā be-jāñ tirā hasan

    ye vaj.h hai ki chūmtā huuñ us maiñ dahan

    bhar jā.egā kalejoñ ke TukḌoñ se sab lagan

    hogā zamurradī tire is laal badan

    sū-e-bahisht jab ye jahāñ se sidhāreñge

    bad-kesh tiir is ke janāze pa māreñge

    zehrā mujhe kalām tāqat nahīñ hai ab

    halq-e-husain chūmne kyā kahūñ sabab

    ik ban meñ tiin roz raheñge ye tishna-lab

    kaT jā.egā galā yahī ḳhanjar se hai ġhazab

    neze pe sar chaḌhegā tire nūr-e-ain

    ghoḌoñ se rauñd Dāleñge lāsha husain

    ro.e ḳhabar ye kah ke jo mahbūb-e-zul-minan

    ghabrā ke muñh husain takne lage hasan

    zehrā pukārī haa.e luTegā mirā chaman

    maiñ mar ga.ī duhā.ī hai sarvar-e-zaman

    ye kaisī aag hai ki mirī kokh jal ga.ī

    hai hai chhurī kaleje pe zehrā ke chal ga.ī

    fariyād yā-nabī shah-e-abrār al-ġhiyās

    ai mursilān-e-haq ke madad-gār al-ġhiyās

    ai be-kasoñ ke vāris o sardār ul-ġhiyās

    qudarat hai sab tarah shah-e-mashriqain ko

    hazrat se lūñgī apne hasan aur husain ko

    kis jurm par ye laal mire qatl hoñge aah

    ro kar kahā rasūl-e-ḳhudā ne ki be-gunāh

    arz fātima ne ki ai arsh-e-bār-gāh

    bachchoñ ko mere kyā na milegī kahīñ panāh

    talvāreñ kheñch kheñch ke zālim jo ā.eñge

    hazrat na kyā navāsoñ ko apne bachā.eñge

    āsāñ hai kyā jo qatl kareñge sitam-shi.ār

    kyā sher-e-haq kamar se na khīñcheñge zul-fiqār

    aadā pe kyā chalegā na dast-e-ḳhudā vaar

    bāloñ ko kyā na kholegī zehrā jigar figār

    TukḌe jigar jo huegā mujh dil do-nīm

    paaya na kyā hilā.ūñgī arsh-e-azīm

    zehrā se ro ke kahne lage shāh-e-nek-ḳhū

    beTī mujhe satā.eñge turbat meñ kīna-jū

    is vaqt qatl hoveñge ye donoñ māh-rū

    duniyā meñ jab na hogā alī aur na maiñ na

    lāshe pe mujtabā ke shabbīr ro.egā

    shabbīr jab maregā to koī na huegā

    chillā.ī sar paTak ke ye zehrā ki hai sitam

    pīTegā kaun tan se jo niklegā us dam

    mātam saf bichhā.egā kaun ai shah-e-umama

    purse ko kaun aa.egā us ke ba-chashm-e-nam

    ham meñ se aise vaqt jo koī na huegā

    hai hai mire husain ko phir kaun ro.egā

    bachche mere tāziya-dārī karegā kaun

    muñh Dhāñp Dhāñp girya-o-zārī karegā kaun

    dariyā-e-ashk chashm se jaarī karegā kaun

    imdād bād-e-marg hamārī karegā kaun

    hogā kahāñ nabī ke navāse fātiha

    sharbat pe kaun devegā pyāse fātiha

    bole nabī ki aap ko zehrā na kar halāk

    farmā chukā hai mujh se ye va.ada ḳhudā-e-pāk

    paidā kareñge qaum ik aisī ba-rū-e-ḳhāk

    jo raat din raheñge isī ġham meñ dard-nāk

    bazm-e-azā meñ ā.eñge vo duur duur se

    tan ḳhaak se banā.eñge dil un ke nuur se

    hogī unhīñ se majlis-e-mātam zeb-o-zain

    deñge unheñ vo lab ki rahe jis pe husain

    āñkheñ vo deñge rone ko samjheñ jo farz-e-ain

    haath aise ġhair sīna-zanī ho jinheñ na chain

    sāmān tāziyat ke kabhī kam na hoveñge

    vo hashr tak husain ke mātam meñ ro.eñge

    hogā ayaañ falak pe moharram jab hilāl

    raḳht-e-siyāh pahneñge bar meñ vo ḳhush-ḳhisāl

    kholeñgī bībayāñ bhī sab apne saroñ ke baal

    har ghar meñ hogā shor ki hai hai alī laal

    leñge sile meñ ḳhuld tire nūr-e-ain se

    aañsū aziiz vo na kareñge husain se

    pyāsā shahīd hogā jo terā ye dil-rubā

    momin sabīleñ rakkheñge paanī jā-ba-jā

    hovegī shaad ruuh shahīdān-e-karbalā

    bhar bhar ke āb-e-sard pukāreñge barmalā

    mahbūb-e-kibriyā ke navāse nazr hai

    pyāse na jā.iyo ki ye pyāse nazr hai

    kahne lagī nabī se butūl-e-falak-janāb

    hai hai maiñ kyā karūñ mire dil ko nahīñ hai taab

    ai bādshāh-e-kaun-o-makāñ mālikur-riqāb

    dargāh-e-haq meñ aap hai arz mustajāb

    kiije duā ki ḳhāliq-e-akbar madad kare

    allāh ye balā mire bachche rad kare

    beTī se ro ke kahne lage shāh-e-kā.enāt

    rūh-ul-amīñ ne mujh se to ye bhī kahī hai baat

    chāho to rad kare ye balā rabb-e-pāk-zāt

    lekin na huegī mire ummat phir najāt

    mahbūb-e-haq nisār tire nūr-e-ain par

    mauqūf hai ye amar to qatl-e-husain par

    allāh-re sabr-e-mahbūb-e-kirdgār

    ummat naam sun ke jhukāyā sar ek baar

    ḳhush-nūd ho ke kahne lage shāh-e-zul-fiqār

    sadqe hasan husain tasadduq alī nisār

    is raah meñ na maal na daulat aziiz hai

    pyāre pisar nahīñ hameñ ummat aziiz hai

    kahne lage husain se phir shāh-e-bahr-o-bar

    batlā mujhe ki kyā tirī marzī hai ai pisar

    naanā se bole chhoTe se hāthoñ ko joḌ kar

    ummat ke kaam aa.e to hāzir abhī hai sar

    va.ada ko ham na bhūleñge go ḳhurd-sāl haiñ

    chhoTe nahīñ haiñ muḳhbir-e-sādiq ke laal haiñ

    rote haiñ aap kis liye sayyad-e-umam

    raazī haiñ ham pe rāh-e-ḳhudā meñ hoñ jo sitam

    talvāreñ bhī chaleñ to nahīñ mārne ke dam

    ummat pe apne sar ko tasadduq kareñge ham

    ham rāst-go haiñ baat pe jis vaqt aate haiñ

    kahte haiñ jo zabāñ se vahī kar dikhāte haiñ

    bachpan meñ jo zabāñ se kahā thā kiyā vo kaam

    jis vaqt ran meñ TuuT paḌe shah pe fauj-e-shām

    gardan jhukā ke barchhiyāñ khāyā kiye imaam

    ḳhuuñ meñ qabā rasūl tar ho ga.ī tamām

    teġheñ alī ke laal ke shāne pe chal ga.iiñ

    chhātī ke paar nezoñ nokeñ nikal ga.iiñ

    pherī na thī jo pusht-e-mubārak dam-e-masāf

    the do hazār zaḳhm faqat sar se tā-ba-nāf

    sayyad se be-vatan se zamāna thā bar-ḳhilāf

    ġhul thā ki aaj hotā hai ghar fātima saaf

    sambhlā na jā.egā ḳhalaf-e-bū-turāb se

    lo vo qadam husain ke nikle rikāb se

    meñh tarah barasne lage shāh-e-dīñ pe tiir

    tharrā rahe the lag ke tan-e-nāznīñ pe tiir

    dāman pe tiir jaib pe tiir āstīñ pe tiir

    pahlū pe teġh siina pe neza jabīñ pe tiir

    dāġhoñ se ḳhuuñ ke raḳht-e-badan lāla-zār thā

    shakl-e-zarīh sīna-e-aqdas figār thā

    tar thī lahū meñ zulf-e-shikan-dar-shikan judā

    majrūh lāl-e-lab the judā aur dahan judā

    darpai the neza-dār judā teġhzan judā

    kaT kaT ke ho gayā thā har ik uzv-e-tan judā

    sī-pāra thā na sadr faqat us janāb

    purze varaq-varaq thā ḳhudā kitāb

    kartā thā vaar barchhiyoñ vāloñ jab parā

    teġhoñ se dam bhī lene mohlat na thī zarā

    nezoñ meñ ḳhuuñ nabī ke navāse thā bharā

    shamshīr-o-tīr neza-o-ḳhanjar ke māvarā

    thiiñ saḳhtiyāñ sitam shah-e-ḳhush-ḳhisāl par

    chalte the sañg fāima-zehrā ke laal par

    the do hazār jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zaḳhm

    māthe pe zaḳhm tiir ke teġhoñ ke sar pe zaḳhm

    gardan pe zaḳhm siine pe zaḳhm aur kamar pe zaḳhm

    aur is ke māvarā the bahattar jigar pe zaḳhm

    ghoḌe pe gah sambhalte the gah Dagmagāte the

    ġhash aatā thā to hirne pe sar ko jhukāte the

    ghoḌe pe jab sambhalne mutlaq rahī na taab

    hāthoñ se baag chhūT ga.ī aur paañv se rikāb

    girne lagā jo ḳhaak pe vo āsmāñ-janāb

    marqad meñ be-qarār huī rūh-e-bū-turāb

    ġhul thā ki ḳhaak par shah-e-kaun-o-makāñ girā

    bas ab zamīñ ulaT ga.ī aur āsmāñ girā

    jaltī huī zamīñ pe taḌapne lage imaam

    be-kas pe zālimoñ ne kiyā aur izhdihām

    us vaqt shimr se ye umar ne kiyā kalām

    haañ tan se jald kaaT sar-e-sarvar-e-anām

    dariyo na sun ke fāima-zehrā aah ko

    gul kar de sham-e-qabr-e-risālat-panāh ko

    ye sunte chaḌhā.ī sitam-gar ne āstīñ

    ḳhanjar kamar se khīñch ke aage baḌhā liiñ

    the qibla-rū jhuke hue sajde meñ shāh-e-dīñ

    lab hilte dekhe shaah ke aayā vo jab qarīñ

    samjhā ki tishnagī se jo sadme guzarte haiñ

    us vaqt bad-duā mujhe shabbīr karte haiñ

    jhuk kar qarīb kaan jo laayā to ye sunā

    haq meñ gunāhgāroñ ke karte haiñ shah duā

    jaarī zabān-e-ḳhushk pe ye hai ki ai ḳhudā

    kar hājatoñ ko mere muhibboñ to ravā

    shī.oñ hashr roz-e-jazā mere saath ho

    merā ye ḳhūñ-bahā hai ki un najāt ho

    ye sun ke musta.id huā vo shah ke qatl par

    zaanū rakhā husain ke siine pa be-ḳhatar

    gardan pe pherne lagā ḳhanjar jo bad-guhar

    aa.ī sadā alī ki hai hai mire pisar

    zehrā pukārī kuchh bhī nabī se hijāb hai

    zālim ye bosa-gāh-e-risālat-ma.āb hai

    kyuuñ zab.h mere laal ko kartā hai be-gunāh

    kyuuñ kāTtā hai mere kaleje ko rū-siyāh

    kashtī ko ahl-e-bait-e-nabī na kar tabāh

    maiñ fātima huuñ arsh hilā.egī merī aah

    huegā hashr qatl jo ye be-vatan huā

    ye mar gayā to ḳhātma-e-panj-tan huā

    āvāz apnī maañ ye zainab ne jab sunī

    dauḌī nikal ke ḳheme se sar pīTtī huī

    dekhā ki zab.h kartā hai hazrat ko vo shaqī

    sar piiT kar ye kahne lagī vo jigar-jalī

    hai hai na tiin roz ke pyāse ko zab.h kar

    zālim na mustafā ke navāse ko zab.h kar

    baano pukārtī thī ye kyā kartā hai la.iiñ

    pyāsā hai tiin roz se haidar jā-nashīñ

    chillātī thī sakīna ki jiine maiñ nahīñ

    baabā ko zab.h kartā hai kyuuñ ai udū-e-dīñ

    ḳhanjar na pher chāñd gardan pe rahm kar

    abbā ko chhoḌ de mire bachpan pe rahm kar

    zaḳhmoñ se chuur chuur hai zehrā yādgār

    jis chhātī par meñ sotī thī us par hai to savār

    baabā ke halq par na phirā ab chhurī dhaar

    badle pidar ke sar ko mare tan se utaar

    sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar

    potī huuñ fātima mujhe be-pidar na kar

    ro kar bayāñ ye kartī thī vo soḳhta-jigar

    de kar duhā.ī ahl-e-haram pīTte the sar

    kartā thā zab.h shah ko vahāñ shimr-e-bad guhar

    farmāte the ye shaah ki pyāsā huuñ rahm kar

    paanī diyā na haa.e nabī ke navāse ko

    jallād zab.h karne lagā bhūke pyāse ko

    āḳhir sar-e-imām-e-umam tan se kaT gayā

    chillā ke fātima ne ye zainab ko sadā

    maidāñ se jald le ke sakīna ko ghar meñ

    be-jurm kaT gayā tire maañ jaa.e galā

    maarā ba-zulm shimr ne pyāse ko jaan se

    maiñ laT ga.ī husain sidhāre jahān se

    bas ai 'anīs' bazm meñ hai nāla-o-fuġhāñ

    pūchh un ke dil se jo haiñ suḳhan-fahm nukta-dāñ

    haq hai sunā nahīñ kabhī us husn bayāñ

    goyā ki ye ḳhalīq hai sar-ba-sar zabāñ

    sach hai ki is zabāñ ko koī jāntā nahīñ

    jo jāntā hai aur ko vo māntā nahīñ

    dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai

    dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai

    zarron mein raushni-e-tajalli-e-tur hai

    ek aaftab-e-ruKH ki ziya dur dur hai

    koson zamin aks se dariya-e-nur hai

    allah-re husn tabqa-e-ambar-sarisht ka

    maidan-e-karbala hai namuna bahisht ka

    hairan zamin ke nur se hai charKH-e-lajward

    manind-e-kahruba hai ruKH-e-aftab-e-zard

    hai ru-kash-e-faza-e-iram wadi-e-nabard

    uThta hai KHak se tataq-e-nur ja-e-gard

    hairat se hamilan-e-falak un ko takte hain

    zarre nahin zamin pe sitare chamakte hain

    hai aab-e-nahr surat-e-aina jalwa-gar

    taban hai misl-e-chashma-e-KHurshid har bhanwar

    lahren bisan-e-barq chamakti hain sar-ba-sar

    pani pe machhliyon ki Thaharti nahin nazar

    ye aab-o-tab hai ki guhar aab aab hain

    dariya to aasman hain sitare hubab hain

    partaw-fagan hua jo ruKH-e-qibla-e-anam

    mashhur ho gai wo zamin arsh-ehtisham

    aur sang-reze durr-e-najaf ban gae tamam

    sahra ko mil gaya sharaf-e-wadi-assalam

    kabe se aur najaf se bhi izzat siwa hui

    KHak us zamin-e-pak ki KHak-e-shifa hui

    phaila jo nur-e-mahr-e-imamat dam-e-zawal

    zarron se wan ke aankh milana hua muhaal

    sare nihaal faiz-e-qadam se hue nihaal

    aKHtar bane jo phul to shaKHen banin hilal

    patte tamam aaina-e-nur ho gae

    sahra ke naKHl sab shajar-e-tur ho gae

    ghul tha zahe husain ki shaukat zahe waqar

    goya khaDe hain jang ko mahbub-e-kirdgar

    ruKH se ayan hai dabdaba-e-shah-e-zul-fiqar

    hai nur-e-haq jabin-e-munawwar se aashkar

    kyunkar chhupe na mah-e-do-hafta hijab se

    chauda tabaq mein nur hai us aaftab se

    ye ru-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-fam

    yan sham mein to subh hai aur subh mein hai sham

    haale mein yun nazar nahin aata hai mah tamam

    qudarat KHuda ki nur ka zulmat mein hai maqam

    zulfon mein jalwa-gar nahin chehra janab ka

    hai nisf shab mein aaj zuhur aaftab ka

    qurban kaman-e-abru-e-maula pe jaan o dil

    gar mah-e-nau kahen to hai tashbih mubtazil

    chashm-e-ghazal-e-dasht-e-KHutan chashm se KHajil

    dekha jise karam se KHataen huin bahil

    putli bisan-e-qibla-numa be-qarar hai

    giryan hain wo ye gardish-e-lail o nahaar hai

    ruKHsar hain ziya mein qamar se ziyaada-tar

    jin par Thahar saki na kabhi shams ki nazar

    rish-e-moKHazzab aur ye ruKH-e-shah-e-bahr o bar

    paida hain saf mani-e-wal-lailo-o-wal-qamar

    quran se ayan hai buzurgi imam ki

    khai qasam KHuda ne isi subh o sham ki

    kis munh se kijiye lab-e-jaan-baKHsh ka bayan

    chusi jinhon ne ahmad muKHtar ki zaban

    kya durr-e-ab-dar hain is durj mein nihan

    goya ki motiyon ka KHazana hai ye dahan

    zarre zamin pe aks se sare chamak gae

    jis waqt ye khile to sitar chamak gae

    sham-e-harim-e-lam-yazali tha gulu-e-shah

    tarik shab mein jaise huwaida ho nur-e-mah

    ai charKH-e-be-madar ye kaisa sitam hai aah

    shamshir-e-shimr aur mohammad ki bosa-gah

    jis par rasul honTon ko malte hon pyar se

    kaT jae karbala main wo KHanjar ki dhaar se

    manzur yan thi madh-e-gulu-e-shah-e-umam

    yaad aa gai magar ye hadis-e-gham-o-alam

    masjid mein jalwa-gar the rasul-e-falak-hasham

    malte the zikr-e-haq mein lab-e-pak dam-ba-dam

    raushan the baam-o-dar ruKH-e-raushan ke nur se

    aaina ban gai thi zamin tan ke nur se

    tha jo sutun ki rukn-e-risalat ka takiya-gah

    kursi bhi us ki pusht ki thi DhunDhti panah

    tha jis hasir par wo do aalam ka baadshah

    hasrat se arsh karta tha us farsh par nigah

    auj-e-zamin bahisht-e-barin se do-chand tha

    mimbar ka nuh falak se bhi paya buland tha

    ashab-e-KHas gird the anjum ki tarah sab

    taban tha bich mein wo mah-e-hashmi-laqab

    sar par malak-sifat magas-raan the do arab

    jibril tah kiye hue the zanu-e-adab

    KHadim bilal-o-qumbar-e-gardun-asas tha

    nalain is ke pas asa us ke pas tha

    gesu the wo mufassir-e-wallail-iza-saja

    ruKH se ayan the mani-e-washshams-o-wa-zzuha

    wo rish-e-pak aur ruKH-e-sardar-e-ambiya

    goya dhara tha rehl pe quran khula hua

    oDhe siyah aba jo wo aalam-panah tha

    kaba ka saf hajiyon ko ishtibah tha

    pahlu mein baadshah ke tha jalwa-gar wazir

    sardar-e-din ali-e-wali KHalq ka amir

    donon jahan mein koi na donon ka tha nazir

    ahmad the aaftab to haidar mah-e-munir

    zahir mein ek nur ka do ja zuhur tha

    gar ghaur kijiye to wahi ek nur tha

    masruf-e-waz-o-pand the sultan-e-mashriqain

    jo ghar se nikle khelte zohra ke nur ain

    nana baghair donon nawason ko tha na chain

    baDh jate the hasan kabhi aage kabhi husain

    kahte the dekhen kaun qadam jald uThata hai

    nana ke pas kaun bhala pahle jata hai

    wo gore gore chehron pe zulfen idhar udhar

    aKHtar se wo chamakte hue kan ke guhar

    rashk-e-hilal tauq gale ghairat-e-qamar

    haikal pe naqsh nam KHuda-e-jalil ke

    tawiz gardanon pe par-e-jibril ke

    masjid mein aae hanste hue jab wo gul-badan

    KHushbu se sehan-e-masjid-e-jame bana chaman

    taslim ko husain se pahle jhuke hasan

    KHush ho ke muskurane lage sarwar-e-zaman

    baDh baDh ke KHam salam ko chhoTe baDe hue

    baiThe rahe rasul malak uTh khaDe hue

    beTon ko tha ali ka ishaara ki baiTh jao

    lazim nahin ki waz mein nana ko tum satao

    phaila ke hath bole mohammad ki aao aao

    shabbir ne kaha hamein pahle gale lagao

    bhai hasan jo aap ki godi mein aaen ge

    hum tum se nana jaan abhi ruTh jaen ge

    bole hasan ki wah hamein aur karen na pyar

    iqrar ke chuke hain shahanshah-e-nam-dar

    bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-waqar

    dekhen to kaun kandhe pe hota hai ab sawar

    sab se siwa jo hain so hamin un ke pyare hain

    aage na baDhiye aap ki nana hamare hain

    bhai se tab kaha ye hasan ne ba-iltifat

    be-wajh hum se ruThe ho tum ai niko-sifat

    nana hamare kya nahin sultan-e-kaenat

    hoti hai nagawar tumhein to zara si baat

    ghussa na itna chahiye KHush-KHu ke waste

    machle the yun hi bachcha-e-ahu ke waste

    ye sun ke munh ali ka lage dekhne rasul

    hans kar kaha ye donon hain mere chaman ke phul

    main chahta hun ek ki KHatir na ho malul

    roenge ye to ghar se nikal aaegi butul

    howe na ranj mere kisi nur-e-ain ko

    tum lo hasan ko god mein main lun husain ko

    shabbar se phir ishaara kiya ho ke be-qarar

    ghussa na khao pahle tumhin ko karenge pyar

    phir bole dekh kar su-e-shabbir-e-nam-dar

    aa ai husain aa teri baaton ke main nisar

    chhati se hum lagaenge jaan apni jaan kar

    dekhen to pahle kaun lipaTta hai aan kar

    dauDe ye baat sun ke barabar wo KHush-sayar

    pas aae aaftab-e-risalat ke do qamar

    lipTe husain hans ke idhar aur hasan udhar

    the panw zanuon pe to baala-e-dosh sar

    nana ke sath pyar mein donon ka sath tha

    gardan mein ek un ka aur un ka hath tha

    phir phir ke dekhte the shahanshah-e-mashriqain

    gah jaanib-e-hasan to kabhi jaanib-e-husain

    baiThe jo zanuon pe wo zehra ke nur-e-ain

    tha tan ko lutf qalb ko rahat jigar ko chain

    jhuk jhuk ke munh rasul-e-zaman chumne lage

    in ka gala to un ka dahan chumne lage

    shabbir chahte the ki chumen mere bhi lab

    par kuchh gale ke boson ka khulta na tha sabab

    nana ke munh ke pas ye late the munh ko jab

    jhuk jhuk ke chumte the gala sayyad-e-arab

    bhai ko dekh kar jo hasan muskuraate the

    ghairat se un ki aankhon mein aansu bhar aate the

    uTThe husain zanu-e-ahmad se KHashm-gin

    ghusse se rang zard aur aankhon pe aastin

    ruKH par pasina jism mein rasha jabin pa chin

    puchha kidhar chale to ye bole kahin nahin

    ghar mein akele tewari chaDhae chale gae

    dekha na phir ke sar ko jhukae chale gae

    baitushsharf mein aae jo shabbir-e-nam-dar

    kurte ko munh pe rakh ke lage rone zar-zar

    dauDin ye kah ke faima-zehra jigar-figar

    hai hai husain kya hua tu kyun hai ashk-bar

    tujh ko rula ke gham mein mujhe mubtala kiya

    qurban ho gai tujhe kis ne KHafa kiya

    mera kaleja phahTta hai ai dilruba na ro

    zehra hazar jaan se tujh pe fida na ro

    sar mein na dard ho kahin ai mah-laqa na ro

    bas bas na ro husain bara-e-KHuda na ro

    meri taraf to dekho ki betab hoti hun

    chadar se munh ko Dhanp ke lo main bhi roti hun

    tu munh to khol ai mere shabbir-e-KHush-KHisal

    tar ho gae hain aansuon se gore gore gal

    mal mal ke pusht-e-dast se aankh karo na lal

    suljhaun aao uljhe hue gesuon ke baal

    ghar se gae the sath juda ho ke aae ho

    samjhi main kuchh hasan se KHafa ho ke aae ho

    tum chup raho wo ghar mein to masjid se phir ke aaen

    guzri main khel se mere bachche ko kyun rulaen

    un se na boliyo wo tumhein lakh gar manaen

    lo aao jaane do tumhein chhati se hum lagaen

    wari agar hasan ne rulaya bura kiya

    puchhungi kya na main mere pyare ne kya kiya

    bole husain hum to hain is baat par KHafa

    nana ne chume bhai ke honT aur mera gala

    tum amman-jaan munh ko to sungho mere zara

    kuchh bu-e-nagawar hai mere dahan mein kya

    bhai ke lab se apne labon ko milate hain

    ab hum na jaen ge hamein nana rulate hain

    munh rakh ke munh pe boli ye zehra jigar-figar

    bu-e-gulab aati hai ai mere gul-azar

    chuma agar gala to KHafa ho na main nisar

    tum ko zaban chusate the mahbub-e-kirdgar

    ye mushk mein mahak na gul-e-yasman mein hai

    KHush-bu usi dahan ki tumhaare dahan mein hai

    kahne lage husain ye man se ba-chashm-e-nam

    kya jaano tum hasan se hamein chahte hain kam

    ye kya unhin pe lutf-o-inayat hai dam-ba-dam

    malum ho gaya unhen pyare nahin hain hum

    ro ro ke aaj jaan hum apni ganwaenge

    pani na ab piyenge na khane ko khaenge

    ye baat sun ke ho gaya zehra ka rang faq

    boli pisar se ro ke wo bint-e-rasul-e-haq

    sadqe gai karo na kaleje ko mere shaq

    hai hai ye kya kaha mujhe hota hai ab qalaq

    mera lahu bahega jo aansu bahaoge

    kahe ko man jiyegi jo khana na khaoge

    ye kah ke oDh li sar-e-pur-nur par rida

    moze pahan ke god mein shabbir ko liya

    dar tak gai jo ghar se wo dil-band-e-mustafa

    fizza ne baDh ke buzar o salman ko di sada

    pesh-e-nabi husain ko godi mein lati hain

    haT jao sab ki fatima masjid mein aati hain

    allah-re aamad aamad-e-zehra ka bandobast

    saton falak the auj-e-sharafat se jis ke past

    ahmad ke gird-o-pesh se uTThe KHuda-parast

    insan to kya malak ko na thi qudarat-e-nishast

    aain to shad-shad rasul-e-zaman hue

    ghar mein KHuda ke ek jagah panj-tan hue

    tazim-e-fatima ko uThe sayyad-ul-bashar

    dekha ki chashm-e-fatima hai aansuon se tar

    gham the husain dosh pe man ke jhukae sar

    tha ek hilal mahr ke pahlu mein jalwa-gar

    man kahti thi na rowo magar chup na hote the

    aankhen thin band hichkiyan le le ke rote the

    ghabra ke puchhne lage mahbub-e-zul-jalal

    rota hai kyun husain ye kya hai tumhaara haal

    bolin butul aaj qalaq hai mujhe kamal

    roya hai ye husain ki aankhen hain donon lal

    aate hain hanste rote hue ghar mein jate hain

    shafqat bhi aap hi karte hain aap hi rulate hain

    hathon ko joDti hun main ya shah-e-bahr-o-bar

    shafqat ki us ke haal pe har-dam rahe nazar

    rone se us ke hota hai TukDe mera jigar

    mujh faqa-kash gharib ka pyara hai ye pisar

    haidar se puchhiye mere usrat ke haal ko

    kis kis dukhon se pala hai is naunihaal ko

    ashk us ke jitne Tapke hain ya shah-e-nek-KHu

    utna hi ghaT gaya hai mere jism ka lahu

    roe hain phuT phuT ke ye mere ru-ba-ru

    tar ho gaya hai aansuon se chand sa gulu

    dekha na tha ye main ne jo haal is ka aaj hai

    hazrat to jaante hain ki nazuk mizaj hai

    shafqat se aaj aap ne chume hasan ke lab

    bosa liya na un ke labon ka ye kya sabab

    rutbe mein donon ek hain ya surwar-e-arab

    main sach kahun ye sun ke mujhe bhi hua ojab

    is ko jo ho KHushi to dil is ka bhi shad ho

    chhoTe se chahiye ki mohabbat ziyaad ho

    aap un ke naz uThate hain ya shah-e-bahr-o-bar

    phir kis se ruThen aap se ruThen na ye agar

    aksar inhen chaDhaya hai hazrat ne dosh par

    gesu diye hain nanhe se hathon mein besh-tar

    ruThe the ye so qadmon pe sar dharne aae hain

    munh ke na chumne ka gila karne aae hain

    ye kah ke phir husain se bolin ba-chashm-tar

    lo ja ke ab nabi ke qadam par jhukao sar

    aae husain hath jo nanhe se joD kar

    be-iKHtiyar rone lage sayyad-ul-bashar

    rah rah ke dekhte the ali o butul ko

    nazdik tha qalaq se ghash aae rasul ko

    thi aansuon se rish-e-mubarak tamam nam

    fart-e-buka se KHak pa jhukte the dam-ba-dam

    gahe sutun se lag ke hue rast gah KHam

    har lahza iztirab ziyaada tha sabr kam

    ho sakta tha na zabt shah-e-mashriqain se

    rote the bar bar lipaT kar husain se

    shabbir ro ke kahte the nana na roiye

    roenge ab na hum shah-e-wala na roiye

    hilne lagega arsh-e-mualla na roiye

    phaTta hai ab hamara kaleja na roiye

    sau bar din mein hum to munh ashkon se dhote hain

    hazrat hamare rone pe kahe ko rote hain

    ghabra gae ali-e-wali shah-e-bahr-o-bar

    ki arz fatima ne jhuka ke qadam pe sar

    beTi nisar ho gai ya sayyad-ul-bashar

    kya wajh hai jo aap hain is tarah nauha gar

    jaldi bataiye ki mujhe tab ab nahin

    rona KHuda ke dost ka ye be-sabab nahin

    hazrat ko ilm-e-ghaib hai ya shah-e-ins-o-jaan

    aainda o guzishta ka sab haal hai ayan

    kya aai aaj wahi-e-KHudawand-e-do-jahan

    hona hai jo husain pe mujh se karo bayan

    faqon se kaTti hun musibat jahan ki

    kyun baba-jaan KHair to hai is ki jaan ki

    bole jigar ko tham ke mahbub-e-zul-jalal

    tujh se suna na jaega ai fatima ye haal

    kis munh se main kahun ki qalaq hai mujhe kamal

    zehra shahid hue howenge tere ye donon lal

    matam ki ye KHabar abhi jibril lae the

    sare malak husain ke purse ko aae the

    almas pi ke huega be-jaan tera hasan

    ye wajh hai ki chumta hun us ka main dahan

    bhar jaega kalejon ke TukDon se sab lagan

    hoga zamurradi tere is lal ka badan

    su-e-bahisht jab ye jahan se sidhaarenge

    bad-kesh tir is ke janaze pa marenge

    zehra mujhe kalam ki taqat nahin hai ab

    halq-e-husain chumne ka kya kahun sabab

    ek ban mein tin roz rahenge ye tishna-lab

    kaT jaega gala yahi KHanjar se hai ghazab

    neze pe sar chaDhega tere nur-e-ain ka

    ghoDon se raund Dalenge lasha husain ka

    roe KHabar ye kah ke jo mahbub-e-zul-minan

    ghabra ke munh husain ka takne lage hasan

    zehra pukari hae luTega mera chaman

    main mar gai duhai hai ya sarwar-e-zaman

    ye kaisi aag hai ki meri kokh jal gai

    hai hai chhuri kaleje pe zehra ke chal gai

    fariyaad ya-nabi shah-e-abrar al-ghiyas

    ai mursilan-e-haq ke madad-gar al-ghiyas

    ai be-kason ke waris o sardar ul-ghiyas

    qudarat hai sab tarah ki shah-e-mashriqain ko

    hazrat se lungi apne hasan aur husain ko

    kis jurm par ye lal mere qatl honge aah

    ro kar kaha rasul-e-KHuda ne ki be-gunah

    ki arz fatima ne ki ai arsh-e-bar-gah

    bachchon ko mere kya na milegi kahin panah

    talwaren khench khench ke zalim jo aaenge

    hazrat na kya nawason ko apne bachaenge

    aasan hai kya jo qatl karenge sitam-shiar

    kya sher-e-haq kamar se na khinchenge zul-fiqar

    aada pe kya chalega na dast-e-KHuda ka war

    baalon ko kya na kholegi zehra jigar figar

    TukDe jigar jo huega mujh dil do-nim ka

    paya na kya hilaungi arsh-e-azim ka

    zehra se ro ke kahne lage shah-e-nek-KHu

    beTi mujhe sataenge turbat mein kina-ju

    is waqt qatl howenge ye donon mah-ru

    duniya mein jab na hoga ali aur na main na tu

    lashe pe mujtaba ke tu shabbir roega

    shabbir jab marega to koi na huega

    chillai sar paTak ke ye zehra ki hai sitam

    piTega kaun tan se jo niklega us ka dam

    matam ki saf bichhaega kaun ai shah-e-umama

    purse ko kaun aaega us ke ba-chashm-e-nam

    hum mein se aise waqt jo koi na huega

    hai hai mere husain ko phir kaun roega

    bachche ki mere taziya-dari karega kaun

    munh Dhanp Dhanp girya-o-zari karega kaun

    dariya-e-ashk chashm se jari karega kaun

    imdad baad-e-marg hamari karega kaun

    hoga kahan nabi ke nawase ka fatiha

    sharbat pe kaun dewega pyase ka fatiha

    bole nabi ki aap ko zehra na kar halak

    farma chuka hai mujh se ye wada KHuda-e-pak

    paida karenge qaum ek aisi ba-ru-e-KHak

    jo raat din rahenge isi gham mein dard-nak

    bazm-e-aza mein aaenge wo dur dur se

    tan KHak se banaenge dil un ke nur se

    hogi unhin se majlis-e-matam ki zeb-o-zain

    denge unhen wo lab ki rahe jis pe wa husain

    aankhen wo denge rone ko samjhen jo farz-e-ain

    hath aise ghair sina-zani ho jinhen na chain

    saman taziyat ke kabhi kam na howenge

    wo hashr tak husain ke matam mein roenge

    hoga ayan falak pe moharram ka jab hilal

    raKHt-e-siyah pahnenge bar mein wo KHush-KHisal

    kholengi bibayan bhi sab apne saron ke baal

    har ghar mein hoga shor ki hai hai ali ka lal

    lenge sile mein KHuld tere nur-e-ain se

    aansu aziz wo na karenge husain se

    pyasa shahid hoga jo tera ye dil-ruba

    momin sabilen rakkhenge pani ki ja-ba-ja

    howegi shad ruh shahidan-e-karbala

    bhar bhar ke aab-e-sard pukarenge barmala

    mahbub-e-kibriya ke nawase ki nazr hai

    pyase na jaiyo ki ye pyase ki nazr hai

    kahne lagi nabi se butul-e-falak-janab

    hai hai main kya karun mere dil ko nahin hai tab

    ai baadshah-e-kaun-o-makan malikur-riqab

    dargah-e-haq mein aap ki hai arz mustajab

    kije dua ki KHaliq-e-akbar madad kare

    allah ye bala mere bachche ki rad kare

    beTi se ro ke kahne lage shah-e-kaenat

    ruh-ul-amin ne mujh se to ye bhi kahi hai baat

    chaho to rad kare ye bala rabb-e-pak-zat

    lekin na huegi mere ummat ki phir najat

    mahbub-e-haq nisar tere nur-e-ain par

    mauquf hai ye amar to qatl-e-husain par

    allah-re sabr-e-mahbub-e-kirdgar

    ummat ka nam sun ke jhukaya sar ek bar

    KHush-nud ho ke kahne lage shah-e-zul-fiqar

    sadqe hasan husain tasadduq ali nisar

    is rah mein na mal na daulat aziz hai

    pyare pisar nahin hamein ummat aziz hai

    kahne lage husain se phir shah-e-bahr-o-bar

    batla mujhe ki kya teri marzi hai ai pisar

    nana se bole chhoTe se hathon ko joD kar

    ummat ke kaam aae to hazir abhi hai sar

    wada ko hum na bhulenge go KHurd-sal hain

    chhoTe nahin hain muKHbir-e-sadiq ke lal hain

    rote hain aap kis liye ya sayyad-e-umam

    raazi hain hum pe rah-e-KHuda mein hon jo sitam

    talwaren bhi chalen to nahin marne ke dam

    ummat pe apne sar ko tasadduq karenge hum

    hum rast-go hain baat pe jis waqt aate hain

    kahte hain jo zaban se wahi kar dikhate hain

    bachpan mein jo zaban se kaha tha kiya wo kaam

    jis waqt ran mein TuT paDe shah pe fauj-e-sham

    gardan jhuka ke barchhiyan khaya kiye imam

    KHun mein qaba rasul ki tar ho gai tamam

    teghen ali ke lal ke shane pe chal gain

    chhati ke par nezon ki noken nikal gain

    pheri na thi jo pusht-e-mubarak dam-e-masaf

    the do hazar zaKHm faqat sar se ta-ba-naf

    sayyad se be-watan se zamana tha bar-KHilaf

    ghul tha ki aaj hota hai ghar fatima ka saf

    sambhla na jaega KHalaf-e-bu-turab se

    lo wo qadam husain ke nikle rikab se

    meinh ki tarah barasne lage shah-e-din pe tir

    tharra rahe the lag ke tan-e-naznin pe tir

    daman pe tir jaib pe tir aastin pe tir

    pahlu pe tegh sina pe neza jabin pe tir

    daghon se KHun ke raKHt-e-badan lala-zar tha

    shakl-e-zarih sina-e-aqdas figar tha

    tar thi lahu mein zulf-e-shikan-dar-shikan juda

    majruh lal-e-lab the juda aur dahan juda

    darpai the neza-dar juda teghzan juda

    kaT kaT ke ho gaya tha har ek uzw-e-tan juda

    si-para tha na sadr faqat us janab ka

    purze waraq-waraq tha KHuda ki kitab ka

    karta tha war barchhiyon walon ka jab para

    teghon se dam bhi lene ki mohlat na thi zara

    nezon mein KHun nabi ke nawase ka tha bhara

    shamshir-o-tir neza-o-KHanjar ke mawara

    thin saKHtiyan sitam ki shah-e-KHush-KHisal par

    chalte the sang faima-zehra ke lal par

    the do hazar jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zaKHm

    mathe pe zaKHm tir ke teghon ke sar pe zaKHm

    gardan pe zaKHm sine pe zaKHm aur kamar pe zaKHm

    aur is ke mawara the bahattar jigar pe zaKHm

    ghoDe pe gah sambhalte the gah Dagmagate the

    ghash aata tha to hirne pe sar ko jhukate the

    ghoDe pe jab sambhalne ki mutlaq rahi na tab

    hathon se bag chhuT gai aur panw se rikab

    girne laga jo KHak pe wo aasman-janab

    marqad mein be-qarar hui ruh-e-bu-turab

    ghul tha ki KHak par shah-e-kaun-o-makan gira

    bas ab zamin ulaT gai aur aasman gira

    jalti hui zamin pe taDapne lage imam

    be-kas pe zalimon ne kiya aur izhdiham

    us waqt shimr se ye umar ne kiya kalam

    han tan se jald kaT sar-e-sarwar-e-anam

    dariyo na sun ke faima-zehra ki aah ko

    gul kar de sham-e-qabr-e-risalat-panah ko

    ye sunte hi chaDhai sitam-gar ne aastin

    KHanjar kamar se khinch ke aage baDha lin

    the qibla-ru jhuke hue sajde mein shah-e-din

    lab hilte dekhe shah ke aaya wo jab qarin

    samjha ki tishnagi se jo sadme guzarte hain

    us waqt bad-dua mujhe shabbir karte hain

    jhuk kar qarib kan jo laya to ye suna

    haq mein gunahgaron ke karte hain shah dua

    jari zaban-e-KHushk pe ye hai ki ai KHuda

    kar hajaton ko mere muhibbon ki to rawa

    shion ka hashr roz-e-jaza mere sath ho

    mera ye KHun-baha hai ki un ki najat ho

    ye sun ke mustaid hua wo shah ke qatl par

    zanu rakha husain ke sine pa be-KHatar

    gardan pe pherne laga KHanjar jo bad-guhar

    aai sada ali ki ki hai hai mere pisar

    zehra pukari kuchh bhi nabi se hijab hai

    zalim ye bosa-gah-e-risalat-maab hai

    kyun zabh mere lal ko karta hai be-gunah

    kyun kaTta hai mere kaleje ko ru-siyah

    kashti ko ahl-e-bait-e-nabi ki na kar tabah

    main fatima hun arsh hilaegi meri aah

    huega hashr qatl jo ye be-watan hua

    ye mar gaya to KHatma-e-panj-tan hua

    aawaz apni man ki ye zainab ne jab suni

    dauDi nikal ke KHeme se sar piTti hui

    dekha ki zabh karta hai hazrat ko wo shaqi

    sar piT kar ye kahne lagi wo jigar-jali

    hai hai na tin roz ke pyase ko zabh kar

    zalim na mustafa ke nawase ko zabh kar

    bano pukarti thi ye kya karta hai lain

    pyasa hai tin roz se haidar ka ja-nashin

    chillati thi sakina ki jine ki main nahin

    baba ko zabh karta hai kyun ai udu-e-din

    KHanjar na pher chand si gardan pe rahm kar

    abba ko chhoD de mere bachpan pe rahm kar

    zaKHmon se chur chur hai zehra ka yaadgar

    jis chhati par mein soti thi us par hai to sawar

    baba ke halq par na phira ab chhuri ki dhaar

    badle pidar ke sar ko mare tan se tu utar

    sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar

    poti hun fatima ki mujhe be-pidar na kar

    ro kar bayan ye karti thi wo soKHta-jigar

    de kar duhai ahl-e-haram piTte the sar

    karta tha zabh shah ko wahan shimr-e-bad guhar

    farmate the ye shah ki pyasa hun rahm kar

    pani diya na hae nabi ke nawase ko

    jallad zabh karne laga bhuke pyase ko

    aaKHir sar-e-imam-e-umam tan se kaT gaya

    chilla ke fatima ne ye zainab ko di sada

    maidan se jald le ke sakina ko ghar mein ja

    be-jurm kaT gaya tere man jae ka gala

    mara ba-zulm shimr ne pyase ko jaan se

    main laT gai husain sidhaare jahan se

    bas ai 'anis' bazm mein hai nala-o-fughan

    puchh un ke dil se jo hain suKHan-fahm nukta-dan

    haq hai suna nahin kabhi us husn ka bayan

    goya ki ye KHaliq ki hai sar-ba-sar zaban

    sach hai ki is zaban ko koi jaanta nahin

    jo jaanta hai aur ko wo manta nahin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now