aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eliots-girls-college aur kul pak o hind mushaera

Dilawar Figar

eliots-girls-college aur kul pak o hind mushaera

Dilawar Figar

MORE BYDilawar Figar

    Interesting Fact

    Shaukat Zaidi, the founder of Elite College, wrote this ghazal for the grand Indo-Pak Mushaira that was to be held on May 9 under the auspices of Income Tax Commissioner, Karachi.

    ek aise daur meñ aqdār par jab hai savāl

    mahfil-e-sher-o-adab karnā hai ik amr-e-muhāl

    mahfil-e-sher-o-suḳhan aur vo bhī international

    hai unhī kaam jin se ab bhī zinda hai ġhazal

    hai adab zinda ki kuchh ''ḳhuddām'' aise ab bhī haiñ

    ḳhidmat-e-urdu ko jin ke paas paise ab bhī haiñ

    ye idāre bhī na karte kaam agar fānūs

    kuchh na pūchho haal kyā hotā dil-e-māyūs

    ye idāre bhī na hoñge jab to hai is bhī Dar

    chaltī-phirtī shā.erī hogī yahāñ har road par

    gashtī shā.er road par kar lagā.e ye sadā

    sher san lo road par hāzir hai ḳhādim aap

    sher san lo ek misra bhī nahīñ jis meñ ġhalat

    paise denā na denā daad de denā faqat

    Thele par dīvān laayā hai ye shaḳhs is se milo

    is ġhazloñ nayā majmūa do ruupe kilo

    kaam lo shā.er se ḳhidmat jis qaumī farz hai

    road par aa kar vo ḳhud kahtā hai matl.a arz hai

    qāfiye chuul Dhīlī hai to kasvā lo abhī

    hil rahī haiñ jo radīfeñ ham se Thukvā lo sabhī

    aaj ye manzar nazar aate nahīñ jo chār-sū

    vaj.h is kuchh idāre haiñ adab aabrū

    vo idāre haiñ jo ab bhī sarparast-e-sher-o-fan

    in meñ hai ek eliot-college bhī me.amār-e-vatan

    'tābish' o 'kaifī' 'qatīl' o 'bedī' o ahmad-'nadīm'

    eliot-college meñ aayā hai jo shā.er hai aziim

    eliot-college meñ yaum-e-'faiz' manvāyā gayā

    yaañ 'ra.īs'-amrohvī ko yaad farmāyā gayā

    eliot-college vo vāhid idāra hai yahāñ

    zer-e-tālīm ab jahāñ haiñ laḌkiyāñ laḌkiyāñ

    daur-e-āmezish meñ jab har chiiz meñ hai imtizāj

    eliot-college meñ ḳhālis laḌkiyāñ paḌhtī haiñ aaj

    eliot-college se paayā hai jo sīdhā rāsta

    laḌkiyāñ haiñ zevar-e-ta.alīm se ārāsta

    daur-e-hāzir meñ to har maañ baap hai ye duā

    laḌkī de eliot-college meñ paḌhvā.e ḳhudā

    mujh se kal ye kahtā thā ek educated idiot

    eliot-college ke baanī hoñge T.S-eliot

    maiñ ne us ko jab batāyā shaukat-e-zaidī naam

    bolā phir un donoñ ne mil kar kyā hogā ye kaam

    kaun samjhā.e use jis meñ kamī knowledge hai?

    shān-o-shaukat shaukat-e-zaidī se is college hai

    ek aise daur mein aqdar par jab hai sawal

    mahfil-e-sher-o-adab karna hai ek amr-e-muhaal

    mahfil-e-sher-o-suKHan aur wo bhi international

    hai unhi ka kaam jin se ab bhi zinda hai ghazal

    hai adab zinda ki kuchh KHuddam aise ab bhi hain

    KHidmat-e-urdu ko jin ke pas paise ab bhi hain

    ye idare bhi na karte kaam agar fanus ka

    kuchh na puchho haal kya hota dil-e-mayus ka

    ye idare bhi na honge jab to hai is ka bhi Dar

    chalti-phirti shaeri hogi yahan har road par

    gashti shaer road par ja kar lagae ye sada

    sher san lo road par hazir hai KHadim aap ka

    sher san lo ek misra bhi nahin jis mein ghalat

    paise dena ya na dena dad de dena faqat

    Thele par diwan laya hai ye shaKHs is se milo

    is ki ghazlon ka naya majmua do rupe kilo

    kaam lo shaer se KHidmat jis ka qaumi farz hai

    road par aa kar wo KHud kahta hai matla arz hai

    qafiye ki chul Dhili hai to kaswa lo abhi

    hil rahi hain jo radifen hum se Thukwa lo sabhi

    aaj ye manzar nazar aate nahin jo chaar-su

    wajh is ki kuchh idare hain adab ki aabru

    wo idare hain jo ab bhi sarparast-e-sher-o-fan

    in mein hai ek eliot-college bhi meamar-e-watan

    'tabish' o 'kaifi' 'qatil' o 'bedi' o ahmad-'nadim'

    eliot-college mein aaya hai jo shaer hai azim

    eliot-college mein yaum-e-'faiz' manwaya gaya

    yan 'rais'-amrohwi ko yaad farmaya gaya

    eliot-college hi wo wahid idara hai yahan

    zer-e-talim ab jahan hain laDkiyan hi laDkiyan

    daur-e-amezish mein jab har chiz mein hai imtizaj

    eliot-college mein KHalis laDkiyan paDhti hain aaj

    eliot-college se paya hai jo sidha rasta

    laDkiyan hain zewar-e-talim se aarasta

    daur-e-hazir mein to har man bap ki hai ye dua

    laDki de tu eliot-college mein paDhwae KHuda

    mujh se kal ye kahta tha ek educated idiot

    eliot-college ke bani honge TS-eliot

    main ne us ko jab bataya shaukat-e-zaidi ka nam

    bola phir un donon ne mil kar kya hoga ye kaam

    kaun samjhae use jis mein kami knowledge ki hai?

    shan-o-shaukat shaukat-e-zaidi se is college ki hai

    Source:

    Feesabilillah (Pg. 160)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now