aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-sai

Asad Jafri

ham-sai

Asad Jafri

MORE BYAsad Jafri

    qayāmat ban ke TuuTī vo kabhī ban kar azaab aa.ī

    balā-e-nā-gahānī se nahīñ kam merī ham-sā.ī

    vo qaiñchī tarah apnī zabāñ jis dam chalātī hai

    vo ḳhud-sar ek pal meñ saarā ghar sar par uThātī hai

    zabāñ ke saath añgusht-e-shahādat bhī nachātī hai

    mujhe jo baat bhī ho yaad fauran bhuul jaatī hai

    ye sach hai us ke aage chal nahīñ saktī zabāñ merī

    nahīñ minnat-kash-e-tāb-e-shunīdan dāstān merī

    mire ghar to chaupaT saarā kārobār hai us se

    mohalla dard-e-sar mustaqil bīmār hai us se

    faqat ik maiñ nahīñ saarī galī be-zār hai us se

    jise dekho shikār-e-ranjish-e-āzār hai us se

    nirālī vaz.a hai saare zamāne se nirālī hai

    vo zālim kaun bastī yā-rab rahne vaalī hai

    yahāñ tak silsila pahuñchā hai us kam-bayānī

    vo nau bachchoñ maañ hai phir bhī daavā hai javānī

    vasīla hai yahī ehsās us shādmānī

    bahut kamzor pahlū hai ye us zindagānī

    buā kah kar pukāre jo use sau-sau sunātī hai

    vo is pīrāna-sālī meñ bhī baajī kahlavātī hai

    gila ḳhvesh-o-aqārib hai unvān-e-soḳhan us

    ḳhusur saas nandoñ ġhībat hai chalan us

    zabāñ talvār hai us dhamākā hai dahan us

    na kyuuñ ho sab mohalle par musallat makr-o-fan us

    laḌā.ī meñ na kaam aatī haiñ taqrīreñ na takrāreñ

    ki us ek aahaT se laraz jaatī haiñ dīvāreñ

    mire ghar meñ vo jab aa.ī ba-vaqt-e-ḳhurd-o-nosh aa.ī

    takalluf ravā rakkhā na jhijkī aur na sharmā.ī

    uḌā kar le ga.ī jhaT se mire hisse bālā.ī

    ye us be-hijābī hai adnā kār-farmā.ī

    vo din mere liye yaum-e-musībat ban ke aayā hai

    mirī ammī ne jab us kalamoī ko muñh lagāyā thā

    mazā jaatā rahā jiine ham-sā.ī milī achchhī

    agar guzre to guzre kis tarah ab zindagī achchhī

    na us dushmanī achchhī na us dostī achchhī

    kisī ke vāste us nahīñ ham-sā.egī achchhī

    muqaddar ne bhalā ham se mazāq āḳhir kiyā kyā hai

    ḳhudā-yā jis ḳhatā ye sazā hai vo ḳhatā kyā hai

    qayamat ban ke TuTi wo kabhi ban kar azab aai

    bala-e-na-gahani se nahin kam meri ham-sai

    wo qainchi ki tarah apni zaban jis dam chalati hai

    wo KHud-sar ek pal mein sara ghar sar par uThati hai

    zaban ke sath angusht-e-shahadat bhi nachati hai

    mujhe jo baat bhi ho yaad fauran bhul jati hai

    ye sach hai us ke aage chal nahin sakti zaban meri

    nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri

    mere ghar ka to chaupaT sara karobar hai us se

    mohalla dard-e-sar ka mustaqil bimar hai us se

    faqat ek main nahin sari gali be-zar hai us se

    jise dekho shikar-e-ranjish-e-azar hai us se

    nirali waza hai sare zamane se nirali hai

    wo zalim kaun si basti ki ya-rab rahne wali hai

    yahan tak silsila pahuncha hai us ki kam-bayani ka

    wo nau bachchon ki man hai phir bhi dawa hai jawani ka

    wasila hai yahi ehsas us ki shadmani ka

    bahut kamzor pahlu hai ye us ki zindagani ka

    bua kah kar pukare jo use sau-sau sunati hai

    wo is pirana-sali mein bhi baji kahlawati hai

    gila KHwesh-o-aqarib ka hai unwan-e-soKHan us ka

    KHusur ki sas ki nandon ki ghibat hai chalan us ka

    zaban talwar hai us ki dhamaka hai dahan us ka

    na kyun ho sab mohalle par musallat makr-o-fan us ka

    laDai mein na kaam aati hain taqriren na takraren

    ki us ki ek aahaT se laraz jati hain diwaren

    mere ghar mein wo jab aai ba-waqt-e-KHurd-o-nosh aai

    takalluf hi rawa rakkha na jhijki aur na sharmai

    uDa kar le gai jhaT se mere hisse ki baalai

    ye us ki be-hijabi ki hai adna kar-farmai

    wo din mere liye yaum-e-musibat ban ke aaya hai

    meri ammi ne jab us kalamoi ko munh lagaya tha

    maza jata raha jine ka ham-sai mili achchhi

    agar guzre to guzre kis tarah ab zindagi achchhi

    na us ki dushmani achchhi na us ki dosti achchhi

    kisi ke waste us ki nahin ham-saegi achchhi

    muqaddar ne bhala hum se mazaq aaKHir kiya kya hai

    KHuda-ya jis KHata ki ye saza hai wo KHata kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now