Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id milne ka ek bahana hua

Majeed Lahori

id milne ka ek bahana hua

Majeed Lahori

MORE BYMajeed Lahori

    iid milne ik bahāna huā

    kaaT kar jeb vo ravāna huā

    leaderī meñ bhalā huā un

    bandagī meñ mirā bhalā na huā

    ek meñDhe pe nahīñ mauqūf

    tujh pe qurbān ik zamāna huā

    ye avāmī banā rahe haiñ league

    kyā mazāq in āmiyāna huā

    jahāñ rahtī thī ''zoara-jān'' kabhī

    pīr-sāhib āstāna huā

    apnā ''bandū'' bhī ban gayā leader

    jab allot ek kārḳhāna huā

    ham to be-dāl ke rahe būdam

    ke daulat vo ''daulatāna'' huā

    maiñ likhūñgā 'majīd' yūñhī ġhazal

    tañg agar in meñ qāfiya na huā

    id milne ka ek bahana hua

    kaT kar jeb wo rawana hua

    leaderi mein bhala hua un ka

    bandagi mein mera bhala na hua

    ek meinDhe pe hi nahin mauquf

    tujh pe qurban ek zamana hua

    ye awami bana rahe hain league

    kya mazaq in ka aamiyana hua

    jahan rahti thi zoara-jaan kabhi

    pir-sahib ka aastana hua

    apna bandu bhi ban gaya leader

    jab allot ek karKHana hua

    hum to be-dal ke rahe budam

    pa ke daulat wo daulatana hua

    main likhunga 'majid' yunhi ghazal

    tang agar in mein qafiya na hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now