Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni maqbul diwangi ho gai

Machis Lakhnavi

kitni maqbul diwangi ho gai

Machis Lakhnavi

MORE BYMachis Lakhnavi

    kitnī maqbūl dīvāngī ho ga.ī

    jis taraf muñh ghumāyā hañsī ho ga.ī

    sar pe vaa.iz ke vo usturā chal gayā

    vo añdherā chhaTā raushnī ho ga.ī

    mujh pe hañstī hai ye us pe hañstā huuñ

    maiñ siḌī huuñ ki duniyā siḌī ho ga.ī

    ab to un mohabbat aalam ye hai

    muñh lagā.ī huī Domnī ho ga.ī

    uff ye josh-e-raqābat adū jab milā

    mūñchh khā khā ke bal ḳhud khaḌī ho ga.ī

    allāh allāh rah-e-ishq Thokareñ

    chaar din meñ tabī.at harī ho ga.ī

    āh-e-sozāñ ne 'māchis' asar to kiyā

    un sūrat to kuchh sāñvlī ho ga.ī

    kitni maqbul diwangi ho gai

    jis taraf munh ghumaya hansi ho gai

    sar pe waiz ke wo ustura chal gaya

    wo andhera chhaTa raushni ho gai

    mujh pe hansti hai ye us pe hansta hun

    main siDi hun ki duniya siDi ho gai

    ab to un ki mohabbat ka aalam ye hai

    munh lagai hui Domni ho gai

    uff ye josh-e-raqabat adu jab mila

    munchh kha kha ke bal KHud khaDi ho gai

    allah allah rah-e-ishq ki Thokaren

    chaar din mein tabiat hari ho gai

    aah-e-sozan ne 'machis' asar to kiya

    un ki surat to kuchh sanwli ho gai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Machis Lakhnawi (Pg. ebook-30 page-29)

      • Edition: 2004
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now