Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahega pyason se pani ka fasla kab tak

Saghar Khayyami

rahega pyason se pani ka fasla kab tak

Saghar Khayyami

MORE BYSaghar Khayyami

    rahegā pyāsoñ se paanī fāsla kab tak

    rahegā ghar mirā maidān-e-karbalā kab tak

    tire paḌos ke patthar kabhī to jāgeñge

    rahegā kāñch ke mahloñ meñ ḳhudā kab tak

    ye zard zard madqūq koñpaloñ ke liye

    mire badan rahegā shajar harā kab tak

    chhupā sakūñgā kahāñ tak maiñ apnā uryāñ badan

    tanī rahegī añdheroñ ye ridā kab tak

    kisī zulf ke bādal ke paas baiThā huuñ

    ye dekhnā hai ki barsegī ye ghaTā kab tak

    na chheḌegā koī sailāb-e-ārzū 'sāġhar'

    Tikegā aañkh putlī pe aabla kab tak

    rahega pyason se pani ka fasla kab tak

    rahega ghar mera maidan-e-karbala kab tak

    tere paDos ke patthar kabhi to jagenge

    rahega kanch ke mahlon mein tu KHuda kab tak

    ye zard zard si madquq konpalon ke liye

    mere badan ka rahega shajar hara kab tak

    chhupa sakunga kahan tak main apna uryan badan

    tani rahegi andheron ki ye rida kab tak

    kisi ki zulf ke baadal ke pas baiTha hun

    ye dekhna hai ki barsegi ye ghaTa kab tak

    na chheDega koi sailab-e-arzu 'saghar'

    Tikega aankh ki putli pe aabla kab tak

    Source:

    Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 401)

    • Author: Saghar Khayyami
      • Edition: 2012
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd.
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now