Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh-e-waiz ke phaDakne ka maqam aata hai

Machis Lakhnavi

ruh-e-waiz ke phaDakne ka maqam aata hai

Machis Lakhnavi

MORE BYMachis Lakhnavi

    rūh-e-vā.iz ke phaḌakne maqām aatā hai

    dast-e-sāqī se mare haath meñ jaam aatā hai

    maiñ kyā fāltū duniyā meñ huuñ allāh mire

    jo bhī ġham chaltā hai sīdhā mire naam aatā hai

    uuñT tarah haiñ ye shaiḳh-o-barahman badnām

    un be-chāroñ har baat meñ naam aatā hai

    donoñ ek haiñ lā-haul ho lafz-e-sharāb

    ek shaitān ke ik shaiḳh ke kaam aatā hai

    sunte haiñ jitnī hasīnoñ se sivā hoñ bāteñ

    utnā husn-e-bayāñ husn-e-kalām aatā hai

    nār-o-jannat sunātā hai ḳhabar yuuñ vaa.iz

    jaise aḳhbār vahāñ se tire naam aatā hai

    ishq raah meñ kuchh aur maqāmāt ke saath

    ik kachehrī ke kaTahre maqām aatā hai

    hāsid is vāste julte haiñ ziyāda 'māchis'

    har jagah ahl-e-adab meñ tirā naam aatā hai

    ruh-e-waiz ke phaDakne ka maqam aata hai

    dast-e-saqi se mare hath mein jam aata hai

    main hi kya faltu duniya mein hun allah mere

    jo bhi gham chalta hai sidha mere nam aata hai

    unT ki tarah hain ye shaiKH-o-barahman badnam

    un hi be-chaaron ka har baat mein nam aata hai

    donon hi ek hain la-haul ho ya lafz-e-sharab

    ek shaitan ke ek shaiKH ke kaam aata hai

    sunte hain jitni hasinon se siwa hon baaten

    utna hi husn-e-bayan husn-e-kalam aata hai

    nar-o-jannat ki sunata hai KHabar yun waiz

    jaise aKHbar wahan se tere nam aata hai

    ishq ki rah mein kuchh aur maqamat ke sath

    ek kachehri ke kaTahre ka maqam aata hai

    hasid is waste julte hain ziyaada 'machis'

    har jagah ahl-e-adab mein tera nam aata hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Machis Lakhnawi (Pg. ebook-24 page-23)

      • Edition: 2004
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now