Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarangi aur tabla

Khizr Tameemi

sarangi aur tabla

Khizr Tameemi

MORE BYKhizr Tameemi

    duniyā-bhar ke be-fikroñ ne kal bazm-e-surūd sajā.ī thī

    kyā dil ko masaltā thā tabla kyā sārañgī ghabrā.ī thī

    bismil rag-e-jāñ bantī thī tā.ūs tāreñ larzish se

    chaa.e pyāla daur meñ thā huqqe ne dhuum machā.ī thī

    rindoñ ne jhanDe gaaḌe the zabbād ne Dere Daale the

    is dair o haram mahfil meñ mausīqī gaane aa.ī thī

    haañ ashkoñ se pur sārañgī vaañ pech-o-tāb meñ thā tabla

    gaz-bhar zabāñ yaañ chaltī thī vaañ hāthoñ ban aa.ī thī

    vaañ thaap ke abr garajte the naġhmoñ phuvāreñ paḌtī thiiñ

    yaañ har dil par mausīqī ke kohre ne qanāt lagā.ī thī

    uḌtī thiiñ fazā-bhar meñ tāneñ thī chaal sabā mastāna

    taqdīr se biich meñ donoñ ke baiThā shā.er-e-dīvāna

    sārañgī bole table se tum yūñhī shor machāte ho

    ai muñh-phaT table dīvāne kyuuñ kaan hamāre khāte ho

    āvāz tumhārī kavve aur shakl chhalāve terī

    in mīThī mīThī tānoñ ke tum rañg meñ bhañg milāte ho

    lānat hai tumhāre jiine par ārām nahīñ izzat bhī nahīñ

    maiñ godoñ meñ phailtī huuñ tum sar apnā piTvāte ho

    hai ḳhaam abhī tak ishq tirā kuchh sabr nahīñ kuchh taab nahīñ

    yaañ taan aḌī ik mīThī vaañ thaam ke dil rah jaate ho

    maiñ rāj-dulārī albelī naarī huuñ prem-kanhiyā huuñ

    tum mūñDī-kāTe mardak ho barjā par dhakke khāte ho

    tahzīb tumheñ manzūr nahīñ aur aql kahīñ dastūr nahīñ

    tum bhiim tānoñ meñ bāhar kyuuñ aape se ho jaate ho

    nāzoñ se palī shahzādī huuñ maiñ naarī mahloñ vaalī huuñ

    tum jis davām ke qaidī ho sandūqoñ meñ DaT jaate ho

    jab sārañgī ne table se yuuñ dil-shiknī kalām kiyā

    kuchh der to vo ḳhāmosh rahā phir bhābhī-jāñ ko salām kiyā

    yuuñ kahne lagā sārañgī se jaltī par tel girātī ho

    ham rañj-o-alam ke maare haiñ tum aakar aur satātī ho

    mushtāq se muñh pherā kyuuñ hai phir tum ne hameñ aa gherā kyuuñ

    rahne do ise chup majbūrān kyuuñ merī zabāñ khulvātī ho

    maiñ ranjībār shahzāda maidān meñ aakar zaiġham

    jab ek dahāḌ lagātā huuñ tum pardoñ meñ Dar jaatī ho

    paimān-e-vafā jis se bāñdhūñ maiñ paas usī ke rahtā huuñ

    tum harjā.ī ho har ik ke pahlū meñ dil bahlātī ho

    kuchh lutf hai sīna-kobī meñ sar phoḌne meñ ham-mastoñ ko

    bī-bī ye ishq ke zevar haiñ tum yūñhī ham ko banātī ho

    izzat pe hamārī harf-zanī allāh ġhanī allāh ġhanī

    vo vaqt baḌī-bī bhuul ga.iiñ jab kaam apne kachhvātī ho

    maiñ terī shamīm-e-naġhma ko mānind-e-nasīm uḌātā huuñ

    ye merī thaap barkat hai dil bazm meñ masle jaatī huuñ

    jab laḌke mil kar gaate haiñ irfān tāneñ uḌāte haiñ

    hāthoñ se mez bajāte haiñ tum yaad kab un ko aatī ho

    hai malka-e-mausīqī se mujhe nazdīk-tarīñ tujh se rishta

    ham raah pe tujh ko laate haiñ jab lai meñ bhaTak jaatī ho

    maiñ aazar ishq tābish se dil mahfil ke garmātā huuñ

    tā.ūs tambūre ko taj kar din meñ taare dikhlātā huuñ

    ye sun kar shamsuddīn Dare talvār mabādā chal jaa.e

    yaañ tabla taḌaptā rah jaa.e sārañgī rotī rah jaa.e

    chumkār ke sārañgī se kahā tum sīdhī-sādī bholī ho

    zebā nahīñ gar yuuñ muñh meñ tire an-jānoñ bolī ho

    table ke vakīl-e-mutlaq ne vaañ haath se us ko samjhāyā

    achchhā nahīñ ḳhuuñ lahroñ se gar mahfil-bhar meñ holī ho

    tum zenjībār ke shahzāde sārañgī sārañgī Thahrī

    phabtī nahīñ shahzādoñ ke gar aisī bolī Tholī ho

    ḳhāmosh huiiñ bī-sārañgī aur tabla summun-bukmun thā

    yuuñ jaise kisī ne zabāñ apnī kausar ke aab se dho ho

    al-qissa bichhḌe dost mile nai jhagḌā thā nai shikva thā

    nai tan-tanā-tan-tan-tan thī tākaḌ-dhayyā-dhayyā thā

    duniya-bhar ke be-fikron ne kal bazm-e-surud sajai thi

    kya dil ko masalta tha tabla kya sarangi ghabrai thi

    bismil ki rag-e-jaan banti thi taus ki taren larzish se

    chae ka pyala daur mein tha huqqe ne dhum machai thi

    rindon ne jhanDe gaDe the zabbaad ne Dere Dale the

    is dair o haram ki mahfil mein mausiqi gane aai thi

    han ashkon se pur sarangi wan pech-o-tab mein tha tabla

    gaz-bhar ki zaban yan chalti thi wan hathon ki ban aai thi

    wan thap ke abr garajte the naghmon ki phuwaren paDti thin

    yan har dil par mausiqi ke kohre ne qanat lagai thi

    uDti thin faza-bhar mein tanen thi chaal saba ki mastana

    taqdir se bich mein donon ke ja baiTha shaer-e-diwana

    sarangi bole table se tum yunhi shor machate ho

    ai munh-phaT table diwane kyun kan hamare khate ho

    aawaz tumhaari kawwe si aur shakl chhalawe si teri

    in miThi miThi tanon ke tum rang mein bhang milate ho

    lanat hai tumhaare jine par aaram nahin izzat bhi nahin

    main godon mein ja phailti hun tum sar apna piTwate ho

    hai KHam abhi tak ishq tera kuchh sabr nahin kuchh tab nahin

    yan tan aDi ek miThi si wan tham ke dil rah jate ho

    main raj-dulari albeli nari hun prem-kanhiya hun

    tum munDi-kaTe mardak ho barja par dhakke khate ho

    tahzib tumhein manzur nahin aur aql kahin dastur nahin

    tum bhim ki tanon mein bahar kyun aape se ho jate ho

    nazon se pali shahzadi hun main nari mahlon wali hun

    tum jis dawam ke qaidi ho sanduqon mein DaT jate ho

    jab sarangi ne table se yun dil-shikni ka kalam kiya

    kuchh der to wo KHamosh raha phir bhabhi-jaan ko salam kiya

    yun kahne laga sarangi se jalti par tel giraati ho

    hum ranj-o-alam ke mare hain tum aakar aur satati ho

    mushtaq se munh phera kyun hai phir tum ne hamein aa ghera kyun

    rahne do ise chup majburan kyun meri zaban khulwati ho

    main ranjibar ka shahzada maidan mein aakar zaigham sa

    jab ek dahaD lagata hun tum pardon mein Dar jati ho

    paiman-e-wafa jis se bandhun main pas usi ke rahta hun

    tum harjai ho har ek ke pahlu mein dil bahlati ho

    kuchh lutf hai sina-kobi mein sar phoDne mein ham-maston ko

    bi-bi ye ishq ke zewar hain tum yunhi hum ko banati ho

    izzat pe hamari harf-zani allah ghani allah ghani

    wo waqt baDi-bi bhul gain jab kaam apne kachhwati ho

    main teri shamim-e-naghma ko manind-e-nasim uData hun

    ye meri thap ki barkat hai dil bazm mein masle jati hun

    jab laDke mil kar gate hain irfan ki tanen uDate hain

    hathon se mez bajate hain tum yaad kab un ko aati ho

    hai malka-e-mausiqi se mujhe nazdik-tarin tujh se rishta

    hum rah pe tujh ko late hain jab lai mein bhaTak si jati ho

    main aazar ishq ki tabish se dil mahfil ke garmata hun

    taus tambure ko taj kar din mein tare dikhlata hun

    ye sun kar shamsuddin Dare talwar mabaada chal jae

    yan tabla taDapta rah jae sarangi roti rah jae

    chumkar ke sarangi se kaha tum sidhi-sadi bholi ho

    zeba nahin gar yun munh mein tere an-jaanon ki si boli ho

    table ke wakil-e-mutlaq ne wan hath se us ko samjhaya

    achchha nahin KHun ki lahron se gar mahfil-bhar mein holi ho

    tum zenjibar ke shahzade sarangi sarangi Thahri

    phabti hi nahin shahzadon ke gar aisi boli Tholi ho

    KHamosh huin bi-sarangi aur tabla summun-bukmun tha

    yun jaise kisi ne zaban apni kausar ke aab se dho li ho

    al-qissa bichhDe dost mile nai jhagDa tha nai shikwa tha

    nai tan-tana-tan-tan-tan thi takaD-dhayya-dhayya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now