Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aai hai uske kuche se ho kar saba kuchh aur

Meer Taqi Meer

aai hai uske kuche se ho kar saba kuchh aur

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    aa.ī hai us ke kūche se ho kar sabā kuchh aur

    kyā sar meñ ḳhaak Dāltī hai ab havā kuchh aur

    tadbīr dostoñ mujhe nafā kyā kare

    bīmārī aur kuchh hai kareñ haiñ davā kuchh aur

    mastān-e-ishq-o-ahl-e-ḳharābāt meñ hai farq

    mai-ḳhvārgī kuchh aur hai ye nashsha thā kuchh aur

    kyā nisbat us qāmat-e-dilkash se sarv ko

    andāz us aur kuchh us adā kuchh aur

    māñjā jo aarsī ne bahut aap ko to kyā

    ruḳhsār ke hai sat.h us ke safā kuchh aur

    us ziyāda-goī se dil daaġh ho gayā

    shikva kiyā jab us se tab un ne kahā kuchh aur

    is taur se tumhāre to marte nahīñ haiñ ham

    ab vāste hamāre nikālo jafā kuchh aur

    sūrat-parast hote nahīñ ma.anī-āshnā

    hai ishq se butoñ ke mirā mudda.ā kuchh aur

    marne pe jaan dete haiñ vāraftagān-e-ishq

    hai 'mīr' rāh-o-rasm-e-dayār-e-vafā kuchh aur

    aai hai us ke kuche se ho kar saba kuchh aur

    kya sar mein KHak Dalti hai ab hawa kuchh aur

    tadbir doston ki mujhe nafa kya kare

    bimari aur kuchh hai karen hain dawa kuchh aur

    mastan-e-ishq-o-ahl-e-KHarabaat mein hai farq

    mai-KHwargi kuchh aur hai ye nashsha tha kuchh aur

    kya nisbat us ki qamat-e-dilkash se sarw ko

    andaz us ka aur kuchh us ki ada kuchh aur

    manja jo aarsi ne bahut aap ko to kya

    ruKHsar ke hai sath ki us ke safa kuchh aur

    us ki ziyaada-goi se dil dagh ho gaya

    shikwa kiya jab us se tab un ne kaha kuchh aur

    is taur se tumhaare to marte nahin hain hum

    ab waste hamare nikalo jafa kuchh aur

    surat-parast hote nahin mani-ashna

    hai ishq se buton ke mera muddaa kuchh aur

    marne pe jaan dete hain waraftagan-e-ishq

    hai 'mir' rah-o-rasm-e-dayar-e-wafa kuchh aur

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0810

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now