Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj-kal kahe ko batlate ho gustaKHi muaf

Meer Taqi Meer

aaj-kal kahe ko batlate ho gustaKHi muaf

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    āj-kal kaahe ko batlāte ho gustāḳhī muaaf

    rāstī ye hai ki va.ade haiñ tumhāre sab ḳhilāf

    aah barchhī lagī thī tiir dil tapish

    hijr shab mujh pe guzrī ġhairat-e-roz-e-masāf

    ek din maiñ ne likhā thā us ko apnā dard-e-dil

    aaj tak jaatā nahīñ siine se ḳhāme ke shigāf

    paañv par se apne merā sar uThāne mat jhuko

    teġh bāñdhī hai miyāñ tum ne kamar meñ ḳhush-ġhilāf

    saf ulaT āshiqoñ gar tire abrū hileñ

    ek dam talvār ke chalne meñ hove mulk saaf

    shaiḳh mat rū-kash ho mastoñ is jubbe upar

    lete istinje ko Dhelā terī Tal jaatī hai naaf

    ishq ke bāzār meñ saudā na kiijo to 'mīr'

    sar ko jab vaañ bech chukte haiñ to ye hai dast-lāf

    aaj-kal kahe ko batlate ho gustaKHi muaf

    rasti ye hai ki wade hain tumhaare sab KHilaf

    aah barchhi si lagi thi tir si dil ki tapish

    hijr ki shab mujh pe guzri ghairat-e-roz-e-masaf

    ek din main ne likha tha us ko apna dard-e-dil

    aaj tak jata nahin sine se KHame ke shigaf

    panw par se apne mera sar uThane mat jhuko

    tegh bandhi hai miyan tum ne kamar mein KHush-ghilaf

    saf ulaT ja aashiqon ki gar tere abru hilen

    ek dam talwar ke chalne mein howe mulk saf

    shaiKH mat ru-kash ho maston ka tu is jubbe upar

    lete istinje ko Dhela teri Tal jati hai naf

    ishq ke bazar mein sauda na kijo tu to 'mir'

    sar ko jab wan bech chukte hain to ye hai dast-laf

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0249

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now