Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hote tu ba-itab raha

Meer Taqi Meer

apne hote tu ba-itab raha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    apne hote bā-itāb rahā

    be-dimāġhī se bā-ḳhitāb rahā

    ho ke be-parda multafit bhī huā

    nākasī se hameñ hijāb rahā

    na uThā lutf kuchh javānī

    kam bahut mausam-e-shabāb rahā

    kārvāñ haa.e sub.h hote gayā

    maiñ sitam-dīda mahv-e-ḳhvāb rahā

    hijr meñ Dhahā gire rahe

    zo.af se hāl-e-dil ḳharāb rahā

    ghar se aa.e galī meñ sau baarī

    yaar bin der iztirāb rahā

    ham se suljhe na us ke uljhe baal

    jaan ko apnī pech-o-tāb rahā

    parde meñ kaam yaañ huā āḳhir

    vaañ sadā chehre par naqāb rahā

    sozish-e-sīna apne saath ga.ī

    ḳhaak meñ bhī hameñ azaab rahā

    haif hai 'mīr' janāb se myaañ

    ham ko an-samjhe ijtināb rahā

    apne hote tu ba-itab raha

    be-dimaghi se ba-KHitab raha

    ho ke be-parda multafit bhi hua

    nakasi se hamein hijab raha

    na uTha lutf kuchh jawani ka

    kam bahut mausam-e-shabab raha

    karwan hae subh hote gaya

    main sitam-dida mahw-e-KHwab raha

    hijr mein ji Dhaha gire hi rahe

    zoaf se haal-e-dil KHarab raha

    ghar se aae gali mein sau bari

    yar bin der iztirab raha

    hum se suljhe na us ke uljhe baal

    jaan ko apni pech-o-tab raha

    parde mein kaam yan hua aaKHir

    wan sada chehre par naqab raha

    sozish-e-sina apne sath gai

    KHak mein bhi hamein azab raha

    haif hai 'mir' ki janab se myan

    hum ko an-samjhe ijtinab raha

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Shamsur Rahman Faruqi

    apne hote tu ba-itab raha Shamsur Rahman Faruqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now