Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil fart-e-iztirab se simab sa hua

Meer Taqi Meer

dil fart-e-iztirab se simab sa hua

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dil fart-e-iztirāb se sīmāb huā

    chehra tamām zard zar-e-nāb huā

    shāyad jigar gudāḳhta yak-laḳht ho gayā

    kuchh āb-dīda raat se ḳhūnāb huā

    ve din ga.e ki ashk se chhiḌkāv kiyā

    ab rone lag ga.e haiñ to tālāb huā

    ik din kiyā thā yaar ne qad naaz se buland

    ḳhajlat se sarv-e-jū-e-chaman aab huā

    kyā aur koī ro.e ki ab josh-e-ashk se

    halqa hamārī chashm girdāb huā

    qissa to muḳhtasar thā vale tuul ko khiñchā

    ījāz dil ke shauq se itnāb huā

    ammāma hai mo.azzin-e-masjid ki bār-e-ḳhar

    qad to tirā ḳhamīda ho mehrāb huā

    baat ab to sun ki jā-e-suḳhan husn meñ huī

    ḳhat pusht-e-lab sabza-e-sairāb huā

    chal baaġh meñ bhī sote se uTh kar kabhū ki gul

    tak tak ke raah dīda-e-be-ḳhvāb huā

    samjhe the ham to 'mīr' ko āshiq usī ghaḌī

    jab sun ke terā naam vo betāb huā

    dil fart-e-iztirab se simab sa hua

    chehra tamam zard zar-e-nab sa hua

    shayad jigar gudaKHta yak-laKHt ho gaya

    kuchh aab-dida raat se KHunab sa hua

    we din gae ki ashk se chhiDkaw sa kiya

    ab rone lag gae hain to talab sa hua

    ek din kiya tha yar ne qad naz se buland

    KHajlat se sarw-e-ju-e-chaman aab sa hua

    kya aur koi roe ki ab josh-e-ashk se

    halqa hamari chashm ka girdab sa hua

    qissa to muKHtasar tha wale tul ko khincha

    ijaz dil ke shauq se itnab sa hua

    ammama hai moazzin-e-masjid ki bar-e-KHar

    qad to tera KHamida ho mehrab sa hua

    baat ab to sun ki ja-e-suKHan husn mein hui

    KHat pusht-e-lab ka sabza-e-sairab sa hua

    chal bagh mein bhi sote se uTh kar kabhu ki gul

    tak tak ke rah dida-e-be-KHwab sa hua

    samjhe the hum to 'mir' ko aashiq usi ghaDi

    jab sun ke tera nam wo betab sa hua

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0680

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now