dur bahut bhago ho humse sikhe tariq ghazalon ka
duur bahut bhāgo ho ham se sīkhe tarīq ġhazāloñ kā
vahshat karnā sheva hai kyā achchhī āñkhoñ vāloñ kā
sūrat-gar kī pareshānī ne tuul nihāyat khīñchā hai
ham ne kyoñ bistār kiyā thā us ke lambe bāloñ kā
bahut kiyā to patthar meñ sūrāḳh kiye haiñ dur-fashoñ ne
chhed jigar meñ kar denā ye kaam hai mahzūñ nāloñ kā
sarv lab-e-jū lāla-o-gul nasrīn-o-saman haiñ shagūfa hai
dekho jidhar ik baaġh lagā hai apne rangīñ ḳhayāloñ kā
ġhuncha huā hai ḳhār-e-bayābāñ ba.ad ziyārat karne ke
paanī tabarruk karte haiñ sab paañv ke mere chhāloñ kā
pahle tadāruk kuchh hotā to nafā bhī hotā so to 'mīr'
kaam hai āḳhir ishq meñ us ke bīmāroñ bad-hāloñ kā
dur bahut bhago ho hum se sikhe tariq ghazalon ka
wahshat karna shewa hai kya achchhi aankhon walon ka
surat-gar ki pareshani ne tul nihayat khincha hai
hum ne kyon bistar kiya tha us ke lambe baalon ka
bahut kiya to patthar mein suraKH kiye hain dur-fashon ne
chhed jigar mein kar dena ye kaam hai mahzun nalon ka
sarw lab-e-ju lala-o-gul nasrin-o-saman hain shagufa hai
dekho jidhar ek bagh laga hai apne rangin KHayalon ka
ghuncha hua hai KHar-e-bayaban baad ziyarat karne ke
pani tabarruk karte hain sab panw ke mere chhaalon ka
pahle tadaruk kuchh hota to nafa bhi hota so to 'mir'
kaam hai aaKHir ishq mein us ke bimaron bad-haalon ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1537
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.