haal kahne ki kise tab is aazar ke bich
haal kahne kī kise taab is āzār ke biich
haal rahtā hī nahīñ ishq ke bīmār ke biich
ārzū-mand hai ḳhurshīd mayassar hai kahāñ
ki tanik Thahre tire sāya-e-dīvār ke biich
kyā kaheñ ham ki gale Daale phireñ mastī meñ
daane sub.ha ke piro rishta-e-zunnār ke biich
rashk-e-ḳhūbī kā isī ke jigar-e-mah meñ hai daaġh
ye jo ik ḳhaal paḌā hai tire ruḳhsār ke biich
mil gayā phūloñ meñ is rang se karte hue sair
ki ta.ammul kiye paayā use gulzār ke biich
qadr go tum na karo merī matā-e-dil kī
jins lag jāvegī ye bhī kisū sarkār ke biich
gard-e-sar-rafta haiñ ai 'mīr' ham us kushte ke
rah gayā yaar kī jo ek hī talvār ke biich
haal kahne ki kise tab is aazar ke bich
haal rahta hi nahin ishq ke bimar ke bich
aarzu-mand hai KHurshid mayassar hai kahan
ki tanik Thahre tere saya-e-diwar ke bich
kya kahen hum ki gale Dale phiren masti mein
dane subha ke piro rishta-e-zunnar ke bich
rashk-e-KHubi ka isi ke jigar-e-mah mein hai dagh
ye jo ek KHal paDa hai tere ruKHsar ke bich
mil gaya phulon mein is rang se karte hue sair
ki tammul kiye paya use gulzar ke bich
qadr go tum na karo meri mata-e-dil ki
jins lag jawegi ye bhi kisu sarkar ke bich
gard-e-sar-rafta hain ai 'mir' hum us kushte ke
rah gaya yar ki jo ek hi talwar ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1122
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.