Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath se tere agar main na-tawan mara gaya

Meer Taqi Meer

hath se tere agar main na-tawan mara gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    haath se tere agar maiñ nā-tavāñ maarā gayā

    sab kaheñge ye ki kyā ik nīm-jāñ maarā gayā

    ik nigah se besh kuchh nuqsāñ na aayā us ke tiiñ

    aur maiñ be-chāra to ai mehrbāñ maarā gayā

    vasl-o-hijrañ ye jo do manzil haiñ rāh-e-ishq

    dil ġharīb in meñ ḳhudā jaane kahāñ maarā gayā

    dil ne sar khīñchā dayār-e-ishq meñ ai bul-havas

    vo sarāpā-ārzū āḳhir javāñ maarā gayā

    kab niyāz-e-ishq nāz-e-husn se khīñche hai haath

    āḳhir āḳhir 'mīr' sar-bar-āstāñ maarā gayā

    hath se tere agar main na-tawan mara gaya

    sab kahenge ye ki kya ek nim-jaan mara gaya

    ek nigah se besh kuchh nuqsan na aaya us ke tin

    aur main be-chaara to ai mehrban mara gaya

    wasl-o-hijran ye jo do manzil hain rah-e-ishq ki

    dil gharib in mein KHuda jaane kahan mara gaya

    dil ne sar khincha dayar-e-ishq mein ai bul-hawas

    wo sarapa-arzu aaKHir jawan mara gaya

    kab niyaz-e-ishq naz-e-husn se khinche hai hath

    aaKHir aaKHir 'mir' sar-bar-astan mara gaya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0076

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now