Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti apni habab ki si hai

Meer Taqi Meer

hasti apni habab ki si hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    hastī apnī habāb hai

    ye numā.ish sarāb hai

    nāzukī us ke lab kyā kahiye

    pañkhuḌī ik gulāb hai

    chashm-e-dil khol is bhī aalam par

    yaañ auqāt ḳhvāb hai

    baar baar us ke dar pe jaatā huuñ

    hālat ab iztirāb hai

    nuqta-e-ḳhāl se tirā abrū

    bait ik intiḳhāb hai

    maiñ jo bolā kahā ki ye āvāz

    usī ḳhāna-ḳharāb hai

    ātish-e-ġham meñ dil bhunā shāyad

    der se kabāb hai

    dekhiye abr tarah ab ke

    merī chashm-e-pur-āb hai

    'mīr' un nīm-bāz āñkhoñ meñ

    saarī mastī sharāb hai

    hasti apni habab ki si hai

    ye numaish sarab ki si hai

    nazuki us ke lab ki kya kahiye

    pankhuDi ek gulab ki si hai

    chashm-e-dil khol is bhi aalam par

    yan ki auqat KHwab ki si hai

    bar bar us ke dar pe jata hun

    haalat ab iztirab ki si hai

    nuqta-e-KHal se tera abru

    bait ek intiKHab ki si hai

    main jo bola kaha ki ye aawaz

    usi KHana-KHarab ki si hai

    aatish-e-gham mein dil bhuna shayad

    der se bu kabab ki si hai

    dekhiye abr ki tarah ab ke

    meri chashm-e-pur-ab ki si hai

    'mir' un nim-baz aankhon mein

    sari masti sharab ki si hai

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0485

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now