in balaon se kab rihai hai
in balāoñ se kab rihā.ī hai
ishq hai faqr hai judā.ī hai
dekhiye rafta rafta kyā hove
ham bhī chalne ko haiñ ki aa.ī hai
ustuḳhvāñ kaañp kaañp jalte haiñ
ishq ne aag ye lagā.ī hai
dil ko khīñche hai chashmak-e-anjum
aañkh ham ne kahāñ laḌā.ī hai
is sanā.e' kā is badā.e' kā
kuchh ta.ajjub nahīñ ḳhudā.ī hai
na to jazb-e-rasā na baḳht-e-rasā
kyūñke kahiye ki vaañ rasā.ī hai
hai tasanño ki us ke lab haiñ la.al
sab ne ik baat ye banā.ī hai
qaaf
kyā kahūñ ḳhashm ishq se jo mujhe
kabhū jhuñjhlāhaT aah aa.ī hai
aisā chehre pe hai nuhoñ kā ḳharāsh
jaise talvār muñh pe khaa.ī hai
maiñ na aatā thā baaġh meñ us bin
mujh ko bulbul pukār laa.ī hai
aa.ī us jang-jū kī gar shab-e-vasl
shaam se sub.h tak laḌā.ī hai
aur kuchh mashġhala nahīñ hai hameñ
gāh-o-be-gah ġhazal-sarā.ī hai
toḌ kar aa.ina na jaanā ye
ki hameñ sūrat-āshnā.ī hai
in balaon se kab rihai hai
ishq hai faqr hai judai hai
dekhiye rafta rafta kya howe
hum bhi chalne ko hain ki aai hai
ustuKHwan kanp kanp jalte hain
ishq ne aag ye lagai hai
dil ko khinche hai chashmak-e-anjum
aankh hum ne kahan laDai hai
is sanae' ka is badae' ka
kuchh tajjub nahin KHudai hai
na to jazb-e-rasa na baKHt-e-rasa
kyunke kahiye ki wan rasai hai
hai tasanno ki us ke lab hain lal
sab ne ek baat ye banai hai
qaf
kya kahun KHashm ishq se jo mujhe
kabhu jhunjhlahaT aah aai hai
aisa chehre pe hai nuhon ka KHarash
jaise talwar munh pe khai hai
main na aata tha bagh mein us bin
mujh ko bulbul pukar lai hai
aai us jang-ju ki gar shab-e-wasl
sham se subh tak laDai hai
aur kuchh mashghala nahin hai hamein
gah-o-be-gah ghazal-sarai hai
toD kar aaina na jaana ye
ki hamein surat-ashnai hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1779
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.