Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is mauj-KHez dahr mein tu hai habab sa

Meer Taqi Meer

is mauj-KHez dahr mein tu hai habab sa

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    is mauj-ḳhez dahr meñ hai habāb

    āñkheñ khulīñ tirī to ye aalam hai ḳhvāb

    burqā uThā ke dekhe hai muñh se kabhū idhar

    baare huā hai in dinoñ raf.a-e-hijāb

    vo dil ki tere hote rahe thā bharā bharā

    ab is ko dekhiye to hai ik ghar ḳharāb

    das roz aage dekhā thā jaisā so ab nahīñ

    dil rah gayā hai siine meñ jal kar kabāb

    is umr meñ ye hosh ki kahne ko narm garm

    bigḌā rahe hai sāḳhta mast-e-sharāb

    hai ye fareb-e-shauq ki jaate haiñ ḳhat chale

    vaañ se vagarna kab huā hai javāb

    kyā satr-e-mauj-e-ashk ravānī ke saath hai

    mushtāq-e-girya abr hai chashm-e-pur-āb

    dozaḳh huā hai hijr meñ us ke jahāñ hameñ

    soz-e-darūñ se jaan pe hai ik azaab

    muddat huī ki dil se qarār-o-sukūñ ga.e

    rahtā hai ab to aaTh pahar iztirāb

    mavvāj aab hai va-lekin uḌe hai ḳhaak

    hai 'mīr' bahr-e-be-tah-e-hastī sarāb

    is mauj-KHez dahr mein tu hai habab sa

    aankhen khulin teri to ye aalam hai KHwab sa

    burqa uTha ke dekhe hai munh se kabhu idhar

    bare hua hai in dinon rafa-e-hijab sa

    wo dil ki tere hote rahe tha bhara bhara

    ab is ko dekhiye to hai ek ghar KHarab sa

    das roz aage dekha tha jaisa so ab nahin

    dil rah gaya hai sine mein jal kar kabab sa

    is umr mein ye hosh ki kahne ko narm garm

    bigDa rahe hai saKHta mast-e-sharab sa

    hai ye fareb-e-shauq ki jate hain KHat chale

    wan se wagarna kab ka hua hai jawab sa

    kya satr-e-mauj-e-ashk rawani ke sath hai

    mushtaq-e-girya abr hai chashm-e-pur-ab sa

    dozaKH hua hai hijr mein us ke jahan hamein

    soz-e-darun se jaan pe hai ek azab sa

    muddat hui ki dil se qarar-o-sukun gae

    rahta hai ab to aaTh pahar iztirab sa

    mawwaj aab sa hai wa-lekin uDe hai KHak

    hai 'mir' bahr-e-be-tah-e-hasti sarab sa

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0688

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now